Saturday, January 10, 2015

LAW OF ATTRACTION ! [PART 4 n LAST POST]:

LAW OF ATTRACTION ! [PART 4 n LAST POST]
TAQREBAN un tamam hi baton ka zikir me ker chuka jo ap ko kisi bhi cheez k attract kerny me kamyabi se hum kinar ker sakti hy.lehaza jin baton ka zikir ab tak pichli posts me hoa hy.in per amal hi ap ko kamyb bana sakta hy.
TASAWUR!
jab ap programing k leye bethy to is ka wo hi tareqa hy.jis tarah hum meditaion ki tayyari k leye bethty hen.pehly khud ko pur sukoon ker len.ta k ap la shaor se conect ho saken.jab ap mehsos karen k ap kafi pur sukoon ho chuky hen.to ab ap programing k leye tyyar hen.money attraction k hawaly se to kafi tafseeli bat ho chuki hy.wo sab is law ka hi hisa hy.lehaza hum money attraction ki bat is mazmoon me dobara nahi dohraen gy,
ap ko malom hona chaheye k ap ka goal kiya hy.jesa k me arz ker chuka k shuro me apna goal chota rakhen.ya ager bara goal set ker hi leya hy.to phir esy choty choty hison me taqseem ker len.or choty hisy se attraction shuro karen.
maslan ap ki khuwahish hy.k ap ek makhsos comopani ka mobail fhon ap k pas ho.to tasawur me ap us k image ko jis qader wazhy ker sakty hen.karen.
or jo date ap ny set ki hy.tasawur me dekhen k aj ye date hy.or mery pas ye mobil phon mojod hy. is mobail ko hat me le ker is ki sakhti ko mehsos karen.is k mukhtalif butan press karen.buttan press karny se jo awaz peda ho.usy sunen.tasawur me is set se kisi se bat karen.or haqeqe khusi k jazbat lany ki pori koshish karen.ap ye programing 15 minut ya jitni zada kerna chahen ker sakty hen.

ek boht ehum bat ka zikir bhi keye deta hon.ta k ap bunyadi bat ko samajh len.
wo ye k humara brain five senses [sunna / dekhna / chona / soghna / zaeqa [test] ] per her information ko store kerta hy.
lehaza kisi tarah bhi koshish karen k tasawur me ye five senses ka ap is temal kar len.jesa k me bata chuka k humara maqsad ye hy k kisi tarah bhi humra zehan in baton per yaqeen ker le.ya k hum asani se kisi bhi cheez ko attract ker saken.
i9s law k tehut ap taqreeban her shy ko attract ker sdakty hen.jesy /money / gher / car / job / bussines / taluqat / achy usaf / shrat / waghera waghera.
me ny taqreban tamam hi bunyadi baton ka zikir ker deya he.or tasawur me ap jis qader isy ghera ker ty jaen gen. ya five senses ka is temal karen gen.to kamyabi k imka nat barh jaty hen.
ek misal or de deta hon.maslan ap se koi naraz hy.or ap usy manana chaty hen.to tasawur me khud ko us k sath betha hoy dekhen.baten kerty hoy .hansi mazaq kerty hoy.hat milaty hoy.galy milty hoy. ek sath khty pety hoy.ab is tasawur me jis qader bhi baton ka zikir hoa hy.yani hat milana / hansi /mazaq/ khna pena / galy milna waghera /.in dsab ki sath sath haqeqe feelings laty jaen.or khushi ka izhar kart jaen.
is taerah ager ap kisi job k leye programing ker rahy hen.to is tarah arenn.k ap subah uthy . tyyar hoy.offic pohchy./ derwaza khola.to derwazy k khulny ki awaz ko mehsos karen.ander dakhil hoy.kisi ny ap ko welcome kaha or hat milaya to ab us k hat ki girip mehsos karen.us ki hunsi k tabadly me ap bhi muskuraen.or is hunse or muskurahut ko suny mehsos karen.apni jagha per bethe,to chear per bethny se jo awaz peda ho esy mehsos kare,office ki dewaron per kon sa color howa hy.dekhen.table per rakhe files ko hat me utha ker dekhen.in k wazan ko mehsos karen.file khol ker parhny ki koshish karen k kiya likha hy.or sath sath khushi k jazbat ubharty jaen.yani yahan bhi five senses per information leny ki koshish karen.
jo ehum bat me bata chuka hon usy zeror yad rakhen.k jab bhi taswur karen/to zehan me ho k esa haqeqat me ho chuka hy.esa na sochen k agy esa ho ga.
esi tarah ager kisi achy gher ki khuwahish hy.to bikul esi taran .k jesa gher jis jagha ap chaty hen.bikul ap ko hasil ho chuka hy.or is gher ki keys ap k hat me hen.pehly baher khary ho ker is gher ko baher se dekhern.or khushi k jazbat laen.phir is gher k lock ko khol ker ander dakhil ho jaen.ort ek ek cheez esy dekhen jesi ap chaty hen.dewaron per hat pheren.is k sakhti ko mesos karen.gher k mukhtalif kumron me jaen. gher me mojod cheezon ko utha ker apni marzi ki jagha rakhen .nay gher ki smeel ko mehsos kare.waghera waghera.

isv tarah ap apni khuwahis k mutabiq jis cheez ko attract kerna chahen ker sakty hen.
lekin programing k sath action k hikmaty amli zeror honi chaheye.jo bhi ap le sakern.

mera khayal hy k jis hud tak me asan tareqy se samjha sakta tha.me ny is ki pori koshish ki he.phir bhi kisi ko koi bat samajh na ay.ya ki makhsos chez k leye porograming pochana chahen.to zeror poch len.is k ilaa bhi jo bat samajh na ai ho zaeror pochen.
ALLAH AP SAB KO APNY TAMAM HI NEK MAQASID ME KAMYAB FERMAE>AMEEN

LAW OF ATTRACTION ! [PART 3]:

MERI koshish to ye hi the ,k is topic ko do hison me mukamal ker don.lekin jo point ab tak zikir ker chuka hon.or tamam ter baekeyan jo me janta hon.jab in points ko likhny betha hon to silsila deraz hi hota chala jaraha hy.janhan tak kisi bhi cheez ko attract kerny ki bat hy.to us hawaly se practice ka bayan na hi zada taweel hy.or na hi mushkil. lekin is tarah ki koi bhi practice kerny k bad akser log jo apni nakami ka zikir ker rahy hoty hen.to is ki bunyadi waja ye hoti he.k unhy malom hi nahi hota k wo ker kiya rahy hen.goya khud un ka apna concept hi wazhy nahi ho pata.jis ny jesy keh deya kerny lagty hen.is se qata nzer k me kiya ker raha hon.or meri is practice k pechy kiya procec ho raha hy.or me is practice me kamyab kesy hon ga.is tarah ki baton se la ilmi derasal nakami ki waja ban jati he. lehaza me ny in ka bayan bhi zarori samjha.dosri bat is topice k hawaly se ye he.jo mery is mazmon my ek tarah se izafi noeyat rakhti hy.wo ye k me apny parhny waly ko ye bhi bata raha hon .k derasal ye law kam kis tarah kerta hy.ap keh sakty hen.k ye mery is mazmon ki infradeyat hy.ager me chahata to sirf bunyadi mashq ka bata deta.or baqi baten [jin me mery apny tajurbat bhi shamil hen] hazaf ker deta.lekin me apni pori suchai k sath ye chata hon .k apny parhny waly ko andhery me na rakhon.or jahan tak meri ilmi heseyat hy.us k pesh e nazer zada se zada cheezon ko bayan ker sakon. apny mazmon ki taraf any se pehly ek or bat bayan kerna chata hon.k me shuro me zikir ker chuka k me mazmon ki tyyari se pehly kisi qisim ka paper work nahi kerta.or nahi bad me esy save kerta hon.jab likhny bethta hon to mutaliqa baten or tajurbat zehan me ana shuro ho jaty hen. mumkin hy k bad me is hawaly se kuch likhon to boht se baten hazaf ho jaen.lehaza guzarish he k is mazmon ko save ker len.or ager ap ko kahin by ter tebi nazer ay to taerteeb bhi de len.me dawa to nahi kerta.lekin itna zaror hy k is mazmon me ,me ny ab tak boht se baten likh de hen.jo aam tor per trainer zikir hi nahi kerta.ya us k khud apny tajurbat is my na kafi hoty hen.baqi in baton per amal kerna ya na kerna ap ki marzi per hy.
Ab hum aty hen apny mazmon ki taraf.
jESA k kal ki post me me ny zikir kiya k shuro me choti cheezon se shuro karen.or jab tak maqsad hasil na ho jay us waqt tak practice jari rakhen.is ki ek bari waja to ye hy k jo bhi ap apna goal set kerty hen.jab tak ap me us goal ko attract kerny jitni energy na peda ho jay.ap ka goal ap ko hasil na ho ga.maslan ap ka goal ek mobile phone hy.or ap musalsal is k leye programing ker rahy hen.to jab tak energy level per us mobile k baraber ya us se zada energy ap me nahi ho gi.ap us mobile ko attract nahi ker saken gy.lehaza apna energy leval barhhaty jaen.
energy level kin cheezon se barhy ga?
energy level k leye ap jo bhi programing ker rahy hen.is se ap ka energy level barhy ga.is k ilawa muslims k leye un ki ibadat jesy namaz .esi tarah zikir o azkar ya durod shareef ki kasrat se bhi is energy level ko barhaya ja sakta hy.tahum me apny parhny walon ko namaz or kasrat se durood sharef parhny ko khon ga.zikir o azkar me baz o qat log boht zada takrar shuro ker dety hen.jo her zikir k leye bila ijazat sahi nahi hota.is bat ko note ker len ye bat her koi ap ko nahi batay ga.k in zeryon se energy level barta hy.wo bhi law of attraction k leye.

programing!
jab ap mind power k zerye kisi bhi chez ko attract kerny ki practice kerty hen.ya esi tarah meditation me kisi bhi cheez ka tasawur kerty hen.to derasal esy hum programing kehty hen.
1/is me pehli cheez hy.kisi cheez ka khayal hona.k ap ko kis cheez ki zerorat he.jis ko ap attract kerna chaty hen.

2/khayal ya derasal khuwahis k leye ap me kitni shidat hy.yani ap ki khuwahish me by panha shiddat honi chaeye.yani esa na ho k age kamyabi ho gai to theek.werna koi bat nahi.esi soch ap ko nakam banati hy.

3/Jazbat [feelings] jab ap programing karen to khushi k esy jazbat ka hona k jesy haqeqat me ye cheez ap ko mil chuki hy.derasal asal hamara la shaor sahi ya ghalat me ferq nahi kerta.is mano me k ager ap k samny maslan koi zaeqy dar dish mojod hy.to shaor is ka image la shaor ko de dega.k waqe atan dish mojod hy.lekin ager esi koi dish mojod naho.to shaor is ka image la shaor ko nahi de saky ga.kiyon k shaor mantaqi hota hy.jo shy samny ho.usy manta hy.ya qubool kerta hy.jab k ap ankhen band ker k la shaor ko usi dish ka image bhejen to la shaor is per yaqeen ker le ga.chahy ye dish haqeeqat me mojod na ho.kiyon k la shaor gher mantaqi hota hy.ap jo bhi image esy den.ye qubool ker le ga.or us image se mutaliq feelings peda ker dega.
bas esi pattran per hum ek esi shy ka image la shaor ko dety hen.jisy hum hasil kerna chaty hen.or bar bar esa ker k hum derasal la shaor ko hi ye yaqeen dila rahy hoty hen.k haqeeqat me ye shy mery pas mojod hy.or bilakhir ye shy humary pas a jati hy.

4/Action. ager hum ibtedai baton per amal ker rahy hen.to is k bad kisi na kisi satah per humy action bhi lena chaheye.maslan ager ap job k leye programing ker rahy hen.to is k bad koi na koi actiion zeror len.maslan ap is silsily me apny kisi janny waly se job k leye keh sakty hen.ya mutaliqa jagha per apni cv bhej sakty hen.ya akhbar me job talash ker sakty hen.ek pograming kerny wala kiyon k jo energy usy action se peda kerni chaheye.ek tarah se wo pehly hi wo programing k zerye peda ker raha hy,lehaza esy shukhs ka mamoli action bhi bara kar ger hota hy.kiyon k wo pehly hi usy attract ker raha hy.

5/NATEJA .is k bad ap k samny nateja ajata hy.lekin ye bat yad rakhen k mumkin hy k ap ki soch se bilkul mukhtalif tareqy se ap ko wo cheez mil jay.lehaza sirf cheez k husool per nazer rakhen.

programin jin hison per mushtamil hy mukhtaseran ye hen.
1/khayal ya khuwahish 2/jazbat feelings ya khuawahish ki shidat

3 Amal [action]
4/ Nateja.

programing k hawaly se ye bhi yad rakhen.k jo bhi ap goal set karen.esy k leye kuch waqt zaror ty kare,yani is sal ya is mah ya agly mah waghera.
esy tarah ager kisi bary goal k leye ap kafi mudat rakhty hen.to phir is bary goal ko choty choty hison me tabdeel ker len.maslan ek shukhs ager pesy ka goal rakhta hy.or us ka ye goal hy.RS> 50.00.000. or is maqsad k leye wo do teen sal ka target rakhta hy.to ab usy chaheye k is goal ko sal or mah ki bunyad per devid ker len.or choty hisy k husol se shuro kare.yahan tak k apna bara goal hasil ker le.
programing k doran jo bhi tasawurat ap ny kiye.akhir me in ko khud se door ker den.west waly kehty hen. k khula me is sary taswur ko akhir me uchal den.yahan tak k ap ki nazron se ghaib ho jay.
is tarah bhi ker sakty he.lekin zada behter ye hy k jis tarah hum dua kerny k bad ALLAH per chor dety hen.bilkul esi tarah is sary tasawur ko bhi akhir me ALLAH ki taraf bhej den.
or tasawur me dekhen k jis date per ap apna goal hasil kerna chaty thy.us date ko ye goal hasil ho chuka hy.
ya is tarah karen k jab programing k leye bethen to tasaswur karen k jesy aj hi wo sal ya date hy.or aj wo cheez mujhy hasil ho chuki he.
yani tasawur ki energes ko khud me hold nahi rakhna. inhy kisi na kisi makhsos date per hota dekhna hy.

[mazeed waqt mujhy ijazat nahi de raha.BAQI INSHALLAH kal tehreer karon ga.zehmat ki mazrat]
[JARI HE}

LAW OF ATTRACTION ! {PART 2}:

guzishta post me jin baton ka zikir kiya gaya.in ka khulasa ye he.
1. ye kaynat or is me mojod her shy yahan tak k khud humarara apna wujod roshnieyon [energes] per mushtamil he.

2.humara her khayal jo bhi humary zehan me ata he.ya jo kuch bhi hum az khud sochty hen.wo bhi der huqeqat roshni hi per bais he.

3.aam tor per humara zehan yukso na hony ki waja se zrhan se nikalny wali ye khayalat ki roshniyan zehan se nikal ker bikher jati he.

4.meditation ya esi tarah ki kisi bhi mashq k zerye derasal hum bunyadi tor per apny zehan hi ko yukso kerny ki koshish kerty hen.

5.hamara zehan jab kisi bat per yaqeen ker leta he.ya koi bhi khayal jab humary zehan ki gherai me chala jata he.to wo apny tamam ter khudo khal k sath zahir ho jata he.

6.ek shukhs jo apni mehnat k zerye cheezon ko hasil keraha he.der huqeqat wo shukhs bhi mehnat [action] se energy hi ko peda keraha hota he.or der asal ye energy hi ki waja se cheezon ko hasil ker pata hy.

7.zehan se jo khayalat ki roshniyan nikalti hen.in me ek tarah ki magnetice power hoti he.lekin jab zehan muntashir ho to ye roshniyan zehan se nikal ker bikher jati he.ye esy hi he k jesy ap kisi magnet k tukry ko zerat me tabdeel ker den.is taran magnet ki kaseyat to zerat me rahy gi.lekin us ki qowat e kashish kum ho jay gi.esi tarah jab khayalat ki ye roshniyan zehan se nikal ker bikher jaen.to in me attraction ki power kum ya boht kum ho jati he.meditation ya is qisim ki dosri mashqen sirf ye madad deti hen.k zehan yukso ho jay.ta k ye khayalat ki roshniya yukja ho jaen.in roshniyon [energes] k yukja hony ki sorat me qowat e kashish me izafa ho jata he.or jesy jesy ap apny ander zehani yuksoi barhhaty jaty he.to goya ap in khayalat ki roshniyon ko zada se zada qowat dety jaty hen.

yahan tak jab ap ny bayan ki gaen baton ko samajh leya hy.to ab agy bayan ki gaen baton ko bhi achi tarah zehan nasheen ker len.
ENERGY KA law ye he k "ek jesi energes ek dosry ko like [attract ] kerti hen.
maslan ager ap k samny ek gulab ka phol ho to ap us ki khushbo ko basani songh sakty hen.lekin ager ap k samny ghulab ka phol naho to kiya ap ye khushbo mehsos ker saken gen.?
bilkul jab ap gulab k phool ka tawur kar ke is ko khushbo kitaraf zehan laen gy.to yaqeenan ap is khushbo ko mehsos ker len ge.kiyon k tasawur me ap gulab k phol ki energy ki taraf mutawajy hoy.to natejy me energy k law k tehut ap ye khushbo songh sakty hen.

jab ap apny zehan ki taqat se kisi bhi cheez ko attract kerny ki koshish kerty hen.to is k leye pehli ehum cheez ap k ander wafir miqdar me energy ka mojod hona zarori he.
dosri bat ye k ap ka zehan yakso ho.ta k energes yukja hon.jis se in ki magnetice power barhy.
is k bad ap k ander yaqeen ki taqat bhi ho.ager is tarah se ap apni mind power k zerye kisi bhi cheez ko attract ker rahy hen.to ap ka shaor jo rukawaty peda ker sakta he.wo ye he."k is mashq se kiya ho ga." "maloom nahi kamyabi ho ge bhi ya nahi." "pata nahi is tarah hota bhi he ya nahi."waghera waghera.ye tamam bate jo shaori tor per ap k zehan me peda ho sakty hen.ya esi tarah ko mazeed or baten.ye sab ap ko nakam kerny k leye kafi he,in se chutkary k leye ap ko khud me yaqeen ki taqat peda kerni ho gi.lehaza jab bhi programing karen.to pory yaqeen k sath.ye yaqeen energy k sath mil ker ap ko boht jald kamyabi dilata hy.
is dono baten jo me ny zikir ken, in ko zehan me rakhen.k 1.energy ka mojod hona.jitni zada energy k sath zehan yukso ho ga.ap k zehan ki magnetice power zada ho ge,
2.energy k sath yaqeen ki qowat.jo ap k shaor ki mixing ruky ge.tabhi ap apna koi bhi goal hasil ker paen ge,
yad rakhen k me yaha sirf yaqeen [belive] hi ki bat ker raha hon. yaqeen e kamil [faith] ki bat nahi ker raha hon.kiyon k faith ka derja boht ala he.ager kisi me yaqeen e kamil peda ho jay to phir karamat ka zahor hota he.lekin ager hum sirf yaqeen ya man leny tak hi koshish karen .to kamyabi baherhal ho jati .ager chy baz logon k leye ye amer bhi bara dushwar hota he.kiyon k jab un se kaha jata hy k maslan koi shukhs ek khas company ka makhsos mobile k leye programing ker raha he.to jab usy ye kaha jata hy k meditation me us mobile ka tasawur ker k zehan ko yaqeen dela do k ye tumhary pas haqeeqat me mojod hy.to baz logon k leye ye bara dushwar hota he.
jab k ager kisi me ye salaheyat he.k wo mehaz tasawur me khud ko ya zehan ko khushi ki feelings k sath ye yaqeen delany me kamyab ho jata hy.to esy shukhs ko mazeed kisi dosri mashqon ki zerorat nahi reti.

jab kisi khas cheez k leye programing karen.yani apny kisi bhi goal k leye.or energy ko store kerny lagen. to is bat ka bhi khayal rakhen k energy ko bila maqsad k zaya na kare.energy ko zaya kerny waly boht se awamil hen.jesy her waqt fikir mand rehna./ ya bina maqsad fuzool sochty rehna./boht zada ghusa kerna / boht thaka deny waly kam kerna.ya boht zada jinsi awamil waghera.in tamam baton se buchen.

jab bhi kisi cheez k husol k leye programing karen.yad rakhen k sirf ek waqt me ek cheez k leye programing karen.ek se zada cheezon per ek sath kam kerny se energy jo ap k maqsad k husol me madad deti he.but jay ge.natejy me energy power kumzor ho jay ge.or maqsad hasil na ho saky ga.ye boht ehum bat he.esy yad rakhna chaheye,.

jab boht se logon ko is tarah ki cheezon ka ilm hota he.to wo esy boht short samajkh ker jo bari ghalti kerty hen.wo ye k shuro me hi kisi bari cheez ky husool k leye programing kerna shuro kerdety hen.jo bilkul ghalat he.ek nay shukhs ko ibteda me choti choyi cheezon k husool se mashq ka aghaz kerna chaheye.ta k kamyabi k natejy me un ka yaqeen mazeed barh jay.

LAW OF ATTRACTION ! {PART 1 }:

IS mazmon me , meri koshish ho ge. k tamam ter baten jahan tak me bayan ker saka ,bayan kerny ki koshish karon.lekin kiyon k me kisi bhi mazmon k leye pehly se paper work nahi kerta,lehaza jo bhi baten mazmon k hawaly se mery ilm me hoti hen.ya mery zati tajurbat hoty hen.unhen man o an bayan ker deta hon.esi sorat me mumkin hy k koi bat zikir se reh jay.ager esa mujhy mehsos hoa.to bad me zeror zikir ker don ga.ager chy law of attraction ko me sirf ek line me bayan ker sakta hon.lekin kiyon k aam shukhs k leye shayad itni gherai me jana or us per ghor kerna.qadry mushkil ho ga.lehaza me khoshish karon ga k apni taraf se ek ek bat tamam ter gherayion k sath bayan ker don.is qader tafseel kiyon k ek hi post me dena kafi waqt talab kam he.or phir parhny waly per bhi bar na ho.is leye is mazmon ko me do hison me bayan kerna chahon ga.umeed hy jo log esy samajhna chahen gen.wo ibteda se hi tamam baton ko achi tarah zehan nasheen karen gy.is doran ager post k hawaly se koi bhi sawal zehan me ay.to ap zaror poch len.

Ager law of attraction ko ek line me bayan kiya jay to is tarah bayan ker sakty hen.
" jo bhi khayal zehan me gherai me chala jata he.wo zahir hojata he."
yani tamam ter zahiri khado khal k sath humary samny ajata hy.is se qata nazer k khayal acha he ya bura.usool tabdeel nahi ho ga. khayal acha hy ya bura ap k leye faedy ka sabab he.ya nuqsan ka.lekin jab bhi koi khayal ap k zehan ki gherai me jany me kamyab ho jay ga.wo zahir ho jay ga.ye humara brain function he.jo ALLAH ny takhleeq kiya hy.lafz takhleeq se ek bat ye bhi zehan me aei.k "law of attraction " ko " law of creation " k nam se bhi jana jata hy.dono me bunyadi tor per koi ferq nahi he.

Esi tarah ek or tarah se bhi is law ko bayan kiya ja sakta he.
k......" jab humara zehan kisi bat per yaqeen ker leta he.to usy creat ker deta he,"
ye ek esa process he ager esy samajh leya jay.to kisi bhi cheez ko attract kerny k leye humy her dafa ankhen band ker k bethny ki zarorat nahi ho ge.hum chalty phirty bhi basani cheezon ko attract kar rahy hon gen.
OR ye bat is law k hawaly se yad bhi rakhni chahjeye k law of attraction sirf ankhen band ker k apni khuwahishat ko attract kerny ka nam bikul nahi he.bal k dunya me jo log bhi jis me ,me or ap sab log shamil hen.jo bhi mehnat kisi bhi cheez k husol k leye kerty hen.ya jis qisim ki palaning kerty hen.der haqeeqat is palaning or mehnat k natejy me jo kuch bhi unhy hasil hota he.ye sab bhi kisi tarah bhi law of attrction se bahir nahi he.kiyon k mehnat k natejy me bhi jo cheez peda hoti he.wo energy hi he.lekin kiya ferq hoga ek esy shukhs me jo apni mind power ka istemal kerna chata he.cheezon k husol k leye.us me or ek esy shukhs me jo is tarah k law se waqif hi nahi hy.or wo sirf mehnat per yaqeen rakhta he.

koi bhi shukhs chahe is law se waqif ho ya naho.derasal wo jesy mehnat k zerye hasil ker raha he.bunyadi tor per wo energy hi k zerye apni matloba shy hasil ker raha he.ager esa shukhs kahy k me apny pesy k zerye ye cheezen hasil ker raha hon.to pesa bhi derasal energy k siwa or kuch nahi.wo zerya jesy wo pesa keh raha he.wo kis tarah us k pas aya.jab kisi shukhs ki tamam ter tawajo pesy k husol ki taraf ho jay.or us k khayalat me ya zehan me her waqt ya din ka zada ter hisy me pesy ka khayal rahy.to is ka matlab he.k wo pesy ko attract ker raha he.ab chahe wo anjany me esa ker raha ho.lekin is law me tabdeeli nahi ay ge.k janny waly ko is law se faeda ho ga.or na janny waly ko nahi ho ga.yaqeenan law me tabdeeli nahi ay ge.

is hawaly se ye bat yad ker len k ye kaynat jis me hum mojod hen.or is me mojod her her shy roshni [energy ] k ilawa or kuch nahi.yahan tak k khud humara jisim bhi der haqeqat roshni [energes] per mabni he.jisy hum "lateef jisim' ya "aura" bhi kehty he.

Esi tarah ye bat bhi samajh len k humaray tamam hi khayalt roshni ki sorat me zehan me aty hen.or roshni hi ki sorat me zehan se kharij hoty hen.humary brain se her waqt khayalat ki waves nikalti rehti hen.or ye waves brain se nikal ker fiza me bikher jati hen.khayalat ba mani hon ya by mani.dono me ek hi amal hota he.k ye khayalat roshniyon ki sorat me humare dimagh se nikalty rehty hen.lekin ye khayalat brain se jab nikalty hen. to khayalat ki ye roshniyan nikalny k bad fiza me bikher jati hen.ager kisi tareqy se zehan ko yukso ker leya jay to hum energy level per basani chezon ko apni janib khench sakty hen.

humary khayalat jo roshniyon se bany hoty he.yad rakhna chaheye k jab ye muntashir hony k bajay yakja ho jaen.to in k ander ek khas qisim ki magnetice power posheda hoti he.khayalat ya zehan yukso hony ki sorat me ye magnetice power boht barh jati he.jis waqt esa ho jay.us waqt ap ka law of attraction bhetreen kam kerta he,

Esy boht se tajurbat hum me se taqreeban her ek hi ko hoty rehty hen.k jesy kisy azeez ya dost ka achanak khayal aya or kuch der bad pata chala k o azeez ya dost khud agay.ya un ka phone hi agaya.
ya ek dum kisi cheez k bary me socha to foran wo hi mamla ho gaya.esy moqy per hum kehty hen k "me is waqt kuch or mang leta."
to is tarah k boht se waqeat hum seb hi k sath hoty rehty hen.jinhen hum mehaz itefaq keh dety hen.jab k ye bat yad rakhni chaheye k is kaynat me "itefaq" nam ki koi cheez mojod nahi he.her cheez ek qaedy ek zabty k tyhut jari o sari he.or ye sara nizam ALLAH HI ka banaya hoa he.bas hota ye hi k us lamhy kisi na kisi to humara zehan az khud ya is ki energes az khud yauk so ho jati hen.or nateja ye hi hota he k jo bat zaban se nikalti he ya zehan me zada wazhy hoti he.wo pori ho jati he.jab k law of atractiion me ya meditation me hum or kuch is k siwea nahi kerty k hum apny muntashir zahan ko yukso banany ki koshish kerty hen.or esa pursukoon halat me kerty hen.kiyon k zehan k yukso hony ka matlab ye he k khayalat ki jo roshniyan zehan se nikal ker fiza me bikher ker zaya ho rahi hen.wo jab yukso ho jaen gen.to ye roshniya zaya hony se buch jaen gen.natejy me hum apny zehan ko apni kamyabiyon k leye sahi se istemal ker sakty hen.
[Jari he]

AKSER log boht zada mayosi ka shikar hoty hen:

AKSER log boht zada mayosi ka shikar hoty hen.in ka kehna hota he.k hum chahey jitni koshish ker len.lekin esy khayalat aty rehty he.ya baz loogn ki zindagi me boht si nakameyan hoti he.wo in nkamiyon se tot sy jaty hen.bajay is k, k wo agy ki taraf sochen un ka zada ter waqt mazi ki nakameyon ko sochty hoy guzar jata he.ya dosron ny jo kuch in k sath na insafeyan ki hoti hen.wo her waqt un k taraz e amal hi k bary me sochty rehty hen.k fulan ny fulan waqt mery sath ye kiya.wo kiya.
is tarah ki sorat e hal me khud in ki apni zindgi me ek jamod sa ajata he.esy log mustaqbil se zada mazi me hi rehny lagty hen.apni achaeyon se zada apni kohtaeyon per zada sochty rehty he.
is sorat e hal se nikalna boht zarori hota he.werna ye un ka taraz e amal unhy depression me mubtala ker sakta he.
ager chy is sorat e hal se nikalny k boht se tareqy zaror mojod he.lekin me yahan ek asan or sada sa tareqa arz kiye deta hon.zarori he.k esy log rozana is practice ko karen.to boht achy nataij aty he,
Ap ki jitni bhi mayos kun sochen or khayalat hen.ya jo bhi nakameyan hen.ya esi tamam baten jin ko ap samajhty hen.k ye ap ki taraqi me rukawat hen.rozana ek paper per in sab baton ko likh len.mukhtaser ker key.or is tarah ki jitni bhi baten hen in sab ko likhen.or likhny k bad in papers ko jala den.or inhen khud apny samny jalta hoy dekhen.
is tareqy se ap khud me ek tawanai se mehsos karen gen.ager roz na ker saken to week me teen bar is per amal zaror karen

JO log jobs kerty hen.ya sales ki field se taluq rakhty hen.to log bhi pesa kumany k leye apni mind power ka istemal ker sakty he:

JO log jobs kerty hen.ya sales ki field se taluq rakhty hen.to log bhi pesa kumany k leye apni mind power ka istemal ker sakty hen.jis k zerye inhy ya to pehly se achy job mil sakti he.ya job me taraqi k imkanat barh jaty hen. esi tarah jo log apni sales me izafy k leye mind power ka istemal kerna chahen.to in k leye bhi taraqi k bary mawaqy barh jaty hen. is hawaly se jo meditation ki exersice he wo bikul usi tarah he.sirf kuch tabdeeli k sath.maslan jo log chaty hen k inhy in ki mojoda job se zada behter job mil jay.inhy chaheye k wo jis tarah ki job chaty hen.is ka tasawur kaen.or khud ko is job ko kerty hoy dekhen.is k leye apny zehan me koi waqt muqarar karen.jesy do /teen ya chy mah jo bhi ap chahen is job k leye ek waqt set ker len.or roz is meditaion ko keren.is k ilawa din bher me jab jab ap ko moqa mily ap is job k bary me is tarah sochen,k jesy wo job ap ko haqeqat me mil chuki he.or haqeqi khusi ka hona bhi boht zarori he.meditaion me tasawur ko ghera karen.yani jis jgha ap job k khuwahish mand hen.is post per khud ko betha hoa dekhen.office me khud ko kam kerty ho dekhen.office ki ek ek cheez ko feel karen.
esi tarah ager job me taraqi chaty hen.to tasawur me khud ko is post per betha hoy dekhen.or khushi k jazbat laen.
ager ap sales se taluq rakhty hen.to zada behter he k subaha or sham ko is hawaly se meditation karen.is me ap ny is tarah sochna he.k jo mbhi mahana ap is field se kamaty hen.or mazeed ap ki inkum barh nahi parahi.to ap ko chaheye k ap khud ko ek makhsos target den.ya jitni inkum k khuwahish mand he.usy not ker len.or roz is tarah sochen k ap ki sales me izafa ho chuka he.jis qader ap chaty hen.is tasawur ko mazeed ghera karen.or tasawur me dekhen k agly maha ap k haton me ap ki matloba raqum hy.or ap esy dekh ker khushi ka izhar ker rahy hen.ye khushi haqeqat per mabni honi chaheye.is raqum ko hat me mehsos karen.esy songhen[smel] .
jin baton ka zikir kiya gaya. in me chand baton ko zaror mahoz rakhen.kiyon k ye asal chabi [key] hen.is excersice ki.
1/ jis cheez k leye mashq ker rahy hen.to is me is tarah na sochen.k ya cheez mujhy hasil ho jay. ya hasil ho jay ge. nahi bal k is tarah sochna he k ye mujhy hasil ho chuki he.or me is se mehzoz ho raha hon.

2/jab tasawur karen masalan job /taraqi / ya sales me izafy ka. to jis qader ap tasawur ko ghera ker sakty hen,karen.is ka tareqa ye hy k maslan ap taraqi k khuwahish mand hen.to khud ko us post per mojod paen.office k logon se ya apny matehuton se bat kerty hoy khud ko dekhen.office me mojod files ko khol ker dekhen.telefhone sunty hoy khud ko dekhen.office me aty hoy or jaty hoy khud ko dekhen.esy tarah jo bhi ap ki khuwahish he.is k mutaliq tasawur ko jis qader gherai me dekh saken dekhen.

3/ jazbat [feeling] laen.esy khusi k jazbat jesy haqeqat me ho sakty hen.

4/khud ko esa kamil yaqeen dilana he.k waqai ye cheez mujhy hasil ho chuki hen.

5/kisi bhi cheez k husol k leye ek waqt zaror rakhen.maslan ager ap sales se wabasta hen.to kum az kum agly mah ko zehan me rakh ker sochen.k agly mah se mujhy ye matloba income hona shuro ho gai he.jab ap jo bhi mah ya sal set ker len to is tarah mashq karen k jesy aj hi ye sal or mah he.k jis waqt mujhy ye hasil ho chuki he,

5/ ya tasawur k bad is image ko khula ya fiza me uchal den.yani is se la taluq ho jaen.

6/sirf meditation hi me na sochen k ap ko wo cheez hasil ho chuki he.bal k din bher me jis qader bhi ap ko moqa mil jay to esa hi sochen.or khushi ka izhar karen.is doran jab k ap bahir kisi jagha ya office waghera me hon to sochny k leye zarori nahi k lazmi ankhen band ke jaen.ap bagher ankhen band keye bhi soch sakty hen

OUT OF BODY EXPERIENCE !:


OUT OF BODY EXPERIENCE !
Ager ap out of body experience kerna chaty hen.to me is ka boht asan or sada sa tareqa arz keye deta hon.ye tajurba ap chaen to meditation me ya phir let ker bhi ker sakty hen.is k leye sirf ap ko apny zehan ka istemal hi kerna hy.meditation me ya phir let ker khud ko pehly relax ker len.jab ap pusukoon ho jaen.to phir apny jisim per tawaju karen.or kisi esi jagha ka sochen jahan ap jana chaty hen.ya kisi apny qarebi dost waghera se mulaqat kerna chaty hen.
phir tasawur karen k ek dum ap ka aura ap k jisim se nikal ker perwaZ kerny laga he.or dil me ye khayal rakhen k mera aura fulan jagha fulan shukhs k pas pohanch jay.phir ap tasawur ki nigha se apny aura ki perwaz ko dekhen.yahan tak k jis maqam ya jis shukhs k pas ap apny aura ko bhejna chaty hen,wo wahan tak pohanch jay.jab ap ko wo shukhs nazer any lagy.ya us shukhs ka tasawur qaim ho jay.or khud ko us k pas dekhen to ab ap usy koi bhi pegham ,jo ap dena chahen. de den.ya usy koi bhi suggestion dena ho to wo bhi de den.
ap is waqt not ker sakty hen k us shukhs ny kesy kupry pehan rakhey hen.ya wo is waqt kiya ker raha he. ap bad me is tajurby k bad us se phon k zerye poch sakty hen.k kiya us ny esy hi kupry pehny hen.ya us waqt wo jo bhi kam ker raha tha.usy bata ker tasdeeq karen.ya us se pochen k us waqt us k zehan me koi bat aei the.ager wo ap ki baton ki tasdeeq ker deta he.to ap apny tajurby me kamyab ho gay hen.lekin ager nakami ho jay to mayos na hon.ye practice jari rakhen.
Esi tarah ap kisi taqreeb me bhi ,jis me ap ki dawat de gai ho.or ap shirkat na ker saken hon.to is taqreeb me bhi ye tajurba ker sakty hen.is tarah ki taqreeb me ap apny janny walon ki herkat note karen.or ye note karen k kis ny kesy kupry waghera pehan rakhen hen.or phir bad me is ki tasdeek bhi un se zaror karen.

Is tajurby ka sub se acha istemal ye hy.k ager ap logon ko heal ker rahy hen.or ap sy kaha jata hy k fulan jagha fulan shukhs ko energy deni he.to ap bilkul esi tareqy se apny aura ko alg ker k tasawur me apny aura ko us mareez k pas mojod paen.or tasawur me us shukhs k ser per hat rakh ker usy energy dena shuro karen.or phir us sy pochen k usy ferq mehsos hoa.
yad rakhen k humara aura jesy hum jisim e lateef bhi kehty hen.ye mukamal tor per roshniyon se bana hoa he.or roshniyon ya energes k leye time n space ki koi qaid nahi.ye ek boht dilchusp tajurba he.jisy ap bhi basani ker sakty hen.