Anasir
char [4th] he.jin se aam tor per hum sub hi waqif hen.lekin ye anasir
humari zindagi me kuch makhsos hawalon se kiya amal dakhal rakhty hen.is
bary me kum log hi janty he.anasir k hawaly se jis mozo ko me bayan
kerny laga hon.ye aam tor per ilm e nujom k tehut zery behus ata he.me
zati tor per ilm e nujom ki dosri baton ka qail nahi hon.lekin me ny
anasir k hawaly se ilm e nujom ka ye qaeda boht mustanad paya he.
YE anasir aag [fire] / hawa [air] / khak [earth] / pani [water] hen.jin me se her ek unser kisi bhi shukhs per ya kisi bhi shukhs k mizaj per ghalib hota he. ilme nujom ka ye bara hi mustand qaeda he.kiyon k in anasir... me se baz anasir fitri tor per ek dosry k dost hen.or baz anasir fitri tor per ek dosry k dushman hen. dost or dushman se murad ye hy.k baz anasir me muwafiqat he.or baz anasir me mukhalfat he.esa in anasir ki fitrat ki waja se he.maslan ek shukhs ka ghalib unser aag [fire] he.or ek dosra shukhs jis ka ghalib unser pani [water] he.to in dono me fitri tor per dushmani ya mukhalfat he.lehaza fitri tor per dono me dosti ya muhabat nahi ho sakti.kiyon k unser k mukhtalif hony ki waja se dono ka mizaj mukhtalif he. humareha aam tor per is usool ya qaeda ko ager mady nazer rakha jay to zindagi k boht se muamlat me hum pareshni se buch sakty he. jesy shadi k waqt larky or larki k unser ko dekh leya jay.k apas me mawafiqat he ya nahi.khud mera apna tajurba he k shadi k bad jin miyan bevi ki apas me nahi banti.to is ka andaza in k unser ko chak ker k hi ho jata he k waja kiya he. maslan ek larki jis ka ghalib unser pani [water ho.us larki ki shadi esy shukhs se ker de jay jis ka ghalib unser aag [fire] ho to ager in ki shadi ker bhi de jay to bad me dono ki bany ge nahi.larai ghakra rahy ga. esi tarah ager ap kisi shukhs se koi karobari shirakat ker rahy hen.to bhi is bat ka khyal rakhny se ap bad me any wali pareshani se buch sakty hen.esi tarah dosti k muamlat me bhi ap dekh sakty hen.k jo log ap k dost hen.in me se kis kis se ap ka mizaj milta he.or kis se nahi. esi tarah ager peda hony waly buchon k unser me mawafiqat rakhi jay.do gher me behen bhaeyon me hum ahunge rahy ge.werna buchon ka mizaj ek dosry se nahi mily ga. kehna ye he k ager zindagi k mukhtalif muamlat me anasir k dermeyan hum ahunge ka khayal rakha jay to zindagi me boht se khushgawar tabdeeleyan peda ho jati he. is ko yon samajh len k baz anasir me ek dosry k leye attrection hoti he.or baz me nahi. ab raha ye sawal k kesy malom ho k kis shukhs ka unser kiya he.to is k do tareqy hen. ek tareqa tarekh e pedaish k hawaly se kisi bhi shukhs ka jo bhi burg banta he.dekh leya jay k kis burg ka kon sa unser he.is tarah ye malom ho jay ga k kis shukhs per kon sa unser ghlib he. dosra tareqa ye he k kisi bhi shukhs k nam k pehly huruf ko dekha jay k kis huruf ka unser kon sa he.yani ji unser nam k pehly huruf ka hoga us shukhs ka ghalib unser wo hi ho ga.me zati tor per nam k pehly hurf k mutabiq unser ko zada mustanad samajhta hon.kiyon k nam mustaqil pukara jata he. HURUF k mutabiq ansir jany k leye darj e zal chart note ker len. AAG [fire],,,,,alif /ha / meem / tua / fy / sheen / zal hawa [air] ,,,,,kaf / seen / qaf / jeem / zey / sey / zua . ... khak [earth],,,,,ye / noon / suad / by / wao / ty / duad . pani [water],,,,,,hey/ lam / Aen / rey / dal / khey / ghain. is chart ki madad se ap apny ya kisi k bhi nam k pehly hurf k mutabiq kisi ka bhi ghalib unser dekh sakty hen. is me khayal rahy k sirf asli nam k hi pehly huruf ko dekha jay. maslan jesy mera nam SYED DANISH HUSSAIN he.ab mery nam me syed or hussain meri zat ya khandan ki shnakht he.jab me apna unser dekhon ga to sirf DANISH k pehly hurf DAL k zerye dekhon ga k mera unser kon sa he.jab chart me me ny dekha to malom hoa k mera ghalib unser pani [water ] he. dosra sawal ye he k kesy malom ho k kis unser ki kis unser se mawafiqat ya mukhalfat he.to is k leye bhi ulma e nujom ny ek laga bandha qaeda hi deya he.wo ye he. AAG [fire] or hawa [air ] me muwafiqat ya dosti he. KHAK [eart] or pani [water] me muwafiqat ya dosti he. AAG [fire] or pani [water ] me mukhalfat ya dushmani he. hawa[air] or khak[eart] me mukhalfat ya dushmani he. ye anasir ka hawaly se laga bandha qaeda he.jis k zerye ap dekh sakty hen k k kis unser ki kis unser se fitri dosti ya dushmani he. maslan jesa k uper malom kiya k mera ghalib unser pani [water ] he.ab me kisi hawaly se bhi kisi esy shukhs se jurna ya taluqat jesy shadi / karobar / dosti waghera rakhna chata hon.to ager esy shukhs ka ghalib unser AAG ho.to mera or us ka mizaj fitri tor per nahi mil pay ga. bas kehna ye hi he k shadi /karobar / dosti / buchon me humahunge ager hum dekhna chaty hen.to phir humy in baton ka khayal rakhna ho ga,asal me ye anasir ki tabeyat me milap ya mukhalfat ki waja fitri usol ki waja se hota he.or me ny zati tor per anasir k is qaedy ko boht hi mustanad paya he.bal k yon kehna chaheye k ager ap shadi /ya karober waghera k hawaly se kamyabi k khuwahish mand hen.to is qedy ko zaror achi tarah samajh len. ye qaeda kis qader mustanad he.is ka andaza ap khud bhi in usool o qawaid k zarye laga sakty he.apny ya dosron k hawaly se.is me ager koi bat samajh na ay ti zaror poch len.[WALLAH O ALUM]. |
Saturday, January 10, 2015
Anasir char [4th] he.jin se aam tor per hum sub hi waqif hen.:
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Masood tahim nami is shakhs ne ye blog meri ijazat ke bagher banaya..or mery orignal artical mere group me add ho ker chori se yaha copy pest keye..barahey meherbani is copy master se hoshyar rahen....mere artical perhney ke leye mera fb group join kejye..https://www.facebook.com/groups/Meditation.Urdu/
ReplyDelete