Saturday, January 10, 2015

TELEPATHY (Part 2):



UMEED hy k ap logon ny is hawaly se guzishta post ko achi tarah samajh leya ho ga.
bat zehani yuksui per khutum hoi thi.k jab koi bhi insan zehani yuksoi hasil ker leta hy.to khayalat ki jo roshniyan zehan se nikal ker bikher jati hen.wo yukja hony lagti hen.yuksoi k leye wesy to her tarah ka meditation madad kerta hy,lekin jab zehani yuksui k amal ko tez krna ho.to phir aam tor per is k leye boht se mashqen ki jati hen.jinhy irtikaz e tawaju [concentration] ki mashqen kehty hen.
hum me se taqreeban her shukhs hi kabhi na kabhi is zehani yuksoi k amal se anjany me bhi guzerta hy.jab kabhi koi bethy bethy kisi ek point per nazer khud ba khud ther jati hy.ye wo lamha hota hy.k insan az khud zehani yuksoi ko tajurba ker leta hy.jab k esa akser byikhteyar pan me esa hota hy.
is kefeyat me insan ghera sukoon mehsos kerta hy.yahan tak k is kyfeyat me ager koi peechy se awaz bhi dy.to esa shukhs foran jawab nahi de pata.kiyon k is waqt insan ghery sukoon ki halat me chala jata hy.or us ki tamam ter tawaju kisi bhi ek point per ther jati he.
bas ye hi sahi manio me zehani yuksoi ka amal hy.lekin kiyon k aam admi k sath kabhi kabhi by ikhteyar esa hota hy.lehaza is salaheyat ko berhany k leye alg se mashqen kerni hoti hen.
irtikaz e tawaju concentration ki boht se mashqen hen.jin me nukta beni / shuma beni / bilor beni [ ek stone hy jis ko is mashq me istemal kiya jata hy.] /
chand beni / soraj beni waghera.
tahum me apny parhny walon ko do mashqen tajweez karon ga.ek nukta beni [dot concentration] / or chand beni.
nukta beni k leye ek card bord le len. or is per kisi black marker se ek siky k baraber dot bana len.or roz taqreeban teen feet k fasly se esy khuli ankhon se dekhen.is doran jis jagha ap ye mashq ker rahy hen.roshni honi chaheye.
lekin jin logon ki eye side week ho to esy afrad ye mashq na karen.ab is dot ko khuli ankhon se dekhty rahen.esy k paluk na jhupky.ager shuro me zada der palukon ko rokna dushwar ho.to khud per jaber na karen.or paluk jhupka len.or dobara dekhna shuro karen.ahista ahista ye waqt khud berhta jay ga,
is mashq ko teen minut se zada na karen.or jab tak esy kerna hy jab tak ap khud apny ander zehani yuksoi ko mehsos nahi ker lety .chahy is me jitna bhi waqt lagy.kiyon k tele pathy k leye yuksoi bunyad hy.or is maqsad k leye hi ye mashq hy.
is k bad maheny me sirf or sirf do mertaba. chand [moon] ko jab k mukamal chan ho jay.yani islami maheny ki 14 or 15 tareekh ko ap chand beni is tarah karen k ager ho saky to let jaen.werna bath ker bhi ye mashq ho sakti,pory chand ko bagher paluk jhupkay dekhny ki koshish karen.sirf or sirf 5 minut tak.is se zada na karen.
chand beni ki ye mashq jesa bataya gaya hy.sirf us k mutabiq hi karen.
· 

5 comments:

  1. Masood tahim nami is shakhs ne ye blog meri ijazat ke bagher banaya..or mery orignal artical mere group me add ho ker chori se yaha copy pest keye..barahey meherbani is copy master se hoshyar rahen....mere artical perhney ke leye mera fb group join kejye..https://www.facebook.com/groups/Meditation.Urdu/

    ReplyDelete
    Replies
    1. Danish Bhai is name see koi group nhi kindly apna mob number inayat farmaden..

      Delete
  2. Is hawaly se koi Mustanad book Hy ?
    Hy to plz bataiyga.
    03028004991

    ReplyDelete
    Replies
    1. Is hawale se Dr.Shad gilani ke Irtkaz tawaju book he jo k best he wese ye topic p ma kafi janta hn ap mje email kren phr ma apko ek best apni exercise share krnga jo kuch hi wqt ma ap irtkaz tawaju ya one pointed ke kefiyat state hasil krskte ho

      Delete
  3. mujhy glasess lagy huey hen kiya main ye 2 mashqeen kar skta hun ?

    ReplyDelete