Saturday, January 10, 2015

LAW OF ATTRACTION ! [PART 3]:

MERI koshish to ye hi the ,k is topic ko do hison me mukamal ker don.lekin jo point ab tak zikir ker chuka hon.or tamam ter baekeyan jo me janta hon.jab in points ko likhny betha hon to silsila deraz hi hota chala jaraha hy.janhan tak kisi bhi cheez ko attract kerny ki bat hy.to us hawaly se practice ka bayan na hi zada taweel hy.or na hi mushkil. lekin is tarah ki koi bhi practice kerny k bad akser log jo apni nakami ka zikir ker rahy hoty hen.to is ki bunyadi waja ye hoti he.k unhy malom hi nahi hota k wo ker kiya rahy hen.goya khud un ka apna concept hi wazhy nahi ho pata.jis ny jesy keh deya kerny lagty hen.is se qata nzer k me kiya ker raha hon.or meri is practice k pechy kiya procec ho raha hy.or me is practice me kamyab kesy hon ga.is tarah ki baton se la ilmi derasal nakami ki waja ban jati he. lehaza me ny in ka bayan bhi zarori samjha.dosri bat is topice k hawaly se ye he.jo mery is mazmon my ek tarah se izafi noeyat rakhti hy.wo ye k me apny parhny waly ko ye bhi bata raha hon .k derasal ye law kam kis tarah kerta hy.ap keh sakty hen.k ye mery is mazmon ki infradeyat hy.ager me chahata to sirf bunyadi mashq ka bata deta.or baqi baten [jin me mery apny tajurbat bhi shamil hen] hazaf ker deta.lekin me apni pori suchai k sath ye chata hon .k apny parhny waly ko andhery me na rakhon.or jahan tak meri ilmi heseyat hy.us k pesh e nazer zada se zada cheezon ko bayan ker sakon. apny mazmon ki taraf any se pehly ek or bat bayan kerna chata hon.k me shuro me zikir ker chuka k me mazmon ki tyyari se pehly kisi qisim ka paper work nahi kerta.or nahi bad me esy save kerta hon.jab likhny bethta hon to mutaliqa baten or tajurbat zehan me ana shuro ho jaty hen. mumkin hy k bad me is hawaly se kuch likhon to boht se baten hazaf ho jaen.lehaza guzarish he k is mazmon ko save ker len.or ager ap ko kahin by ter tebi nazer ay to taerteeb bhi de len.me dawa to nahi kerta.lekin itna zaror hy k is mazmon me ,me ny ab tak boht se baten likh de hen.jo aam tor per trainer zikir hi nahi kerta.ya us k khud apny tajurbat is my na kafi hoty hen.baqi in baton per amal kerna ya na kerna ap ki marzi per hy.
Ab hum aty hen apny mazmon ki taraf.
jESA k kal ki post me me ny zikir kiya k shuro me choti cheezon se shuro karen.or jab tak maqsad hasil na ho jay us waqt tak practice jari rakhen.is ki ek bari waja to ye hy k jo bhi ap apna goal set kerty hen.jab tak ap me us goal ko attract kerny jitni energy na peda ho jay.ap ka goal ap ko hasil na ho ga.maslan ap ka goal ek mobile phone hy.or ap musalsal is k leye programing ker rahy hen.to jab tak energy level per us mobile k baraber ya us se zada energy ap me nahi ho gi.ap us mobile ko attract nahi ker saken gy.lehaza apna energy leval barhhaty jaen.
energy level kin cheezon se barhy ga?
energy level k leye ap jo bhi programing ker rahy hen.is se ap ka energy level barhy ga.is k ilawa muslims k leye un ki ibadat jesy namaz .esi tarah zikir o azkar ya durod shareef ki kasrat se bhi is energy level ko barhaya ja sakta hy.tahum me apny parhny walon ko namaz or kasrat se durood sharef parhny ko khon ga.zikir o azkar me baz o qat log boht zada takrar shuro ker dety hen.jo her zikir k leye bila ijazat sahi nahi hota.is bat ko note ker len ye bat her koi ap ko nahi batay ga.k in zeryon se energy level barta hy.wo bhi law of attraction k leye.

programing!
jab ap mind power k zerye kisi bhi chez ko attract kerny ki practice kerty hen.ya esi tarah meditation me kisi bhi cheez ka tasawur kerty hen.to derasal esy hum programing kehty hen.
1/is me pehli cheez hy.kisi cheez ka khayal hona.k ap ko kis cheez ki zerorat he.jis ko ap attract kerna chaty hen.

2/khayal ya derasal khuwahis k leye ap me kitni shidat hy.yani ap ki khuwahish me by panha shiddat honi chaeye.yani esa na ho k age kamyabi ho gai to theek.werna koi bat nahi.esi soch ap ko nakam banati hy.

3/Jazbat [feelings] jab ap programing karen to khushi k esy jazbat ka hona k jesy haqeqat me ye cheez ap ko mil chuki hy.derasal asal hamara la shaor sahi ya ghalat me ferq nahi kerta.is mano me k ager ap k samny maslan koi zaeqy dar dish mojod hy.to shaor is ka image la shaor ko de dega.k waqe atan dish mojod hy.lekin ager esi koi dish mojod naho.to shaor is ka image la shaor ko nahi de saky ga.kiyon k shaor mantaqi hota hy.jo shy samny ho.usy manta hy.ya qubool kerta hy.jab k ap ankhen band ker k la shaor ko usi dish ka image bhejen to la shaor is per yaqeen ker le ga.chahy ye dish haqeeqat me mojod na ho.kiyon k la shaor gher mantaqi hota hy.ap jo bhi image esy den.ye qubool ker le ga.or us image se mutaliq feelings peda ker dega.
bas esi pattran per hum ek esi shy ka image la shaor ko dety hen.jisy hum hasil kerna chaty hen.or bar bar esa ker k hum derasal la shaor ko hi ye yaqeen dila rahy hoty hen.k haqeeqat me ye shy mery pas mojod hy.or bilakhir ye shy humary pas a jati hy.

4/Action. ager hum ibtedai baton per amal ker rahy hen.to is k bad kisi na kisi satah per humy action bhi lena chaheye.maslan ager ap job k leye programing ker rahy hen.to is k bad koi na koi actiion zeror len.maslan ap is silsily me apny kisi janny waly se job k leye keh sakty hen.ya mutaliqa jagha per apni cv bhej sakty hen.ya akhbar me job talash ker sakty hen.ek pograming kerny wala kiyon k jo energy usy action se peda kerni chaheye.ek tarah se wo pehly hi wo programing k zerye peda ker raha hy,lehaza esy shukhs ka mamoli action bhi bara kar ger hota hy.kiyon k wo pehly hi usy attract ker raha hy.

5/NATEJA .is k bad ap k samny nateja ajata hy.lekin ye bat yad rakhen k mumkin hy k ap ki soch se bilkul mukhtalif tareqy se ap ko wo cheez mil jay.lehaza sirf cheez k husool per nazer rakhen.

programin jin hison per mushtamil hy mukhtaseran ye hen.
1/khayal ya khuwahish 2/jazbat feelings ya khuawahish ki shidat

3 Amal [action]
4/ Nateja.

programing k hawaly se ye bhi yad rakhen.k jo bhi ap goal set karen.esy k leye kuch waqt zaror ty kare,yani is sal ya is mah ya agly mah waghera.
esy tarah ager kisi bary goal k leye ap kafi mudat rakhty hen.to phir is bary goal ko choty choty hison me tabdeel ker len.maslan ek shukhs ager pesy ka goal rakhta hy.or us ka ye goal hy.RS> 50.00.000. or is maqsad k leye wo do teen sal ka target rakhta hy.to ab usy chaheye k is goal ko sal or mah ki bunyad per devid ker len.or choty hisy k husol se shuro kare.yahan tak k apna bara goal hasil ker le.
programing k doran jo bhi tasawurat ap ny kiye.akhir me in ko khud se door ker den.west waly kehty hen. k khula me is sary taswur ko akhir me uchal den.yahan tak k ap ki nazron se ghaib ho jay.
is tarah bhi ker sakty he.lekin zada behter ye hy k jis tarah hum dua kerny k bad ALLAH per chor dety hen.bilkul esi tarah is sary tasawur ko bhi akhir me ALLAH ki taraf bhej den.
or tasawur me dekhen k jis date per ap apna goal hasil kerna chaty thy.us date ko ye goal hasil ho chuka hy.
ya is tarah karen k jab programing k leye bethen to tasaswur karen k jesy aj hi wo sal ya date hy.or aj wo cheez mujhy hasil ho chuki he.
yani tasawur ki energes ko khud me hold nahi rakhna. inhy kisi na kisi makhsos date per hota dekhna hy.

[mazeed waqt mujhy ijazat nahi de raha.BAQI INSHALLAH kal tehreer karon ga.zehmat ki mazrat]
[JARI HE}

2 comments:

  1. Masood tahim nami is shakhs ne ye blog meri ijazat ke bagher banaya..or mery orignal artical mere group me add ho ker chori se yaha copy pest keye..barahey meherbani is copy master se hoshyar rahen....mere artical perhney ke leye mera fb group join kejye..https://www.facebook.com/groups/Meditation.Urdu/

    ReplyDelete
  2. PTSD Relief ** Super Brain Power ** | Stress Relief Tablets | Works for PTSD - Chronic Fatigue Syndrome | Chronic Pain Syndrome | Natural Anxiety & Stress Relief Capsules | 60 Capsules
    https://www.amazon.co.uk/dp/B07H6NMN6G

    ReplyDelete