Saturday, January 10, 2015

LAW OF ATTRACTION ! [PART 4 n LAST POST]:

LAW OF ATTRACTION ! [PART 4 n LAST POST]
TAQREBAN un tamam hi baton ka zikir me ker chuka jo ap ko kisi bhi cheez k attract kerny me kamyabi se hum kinar ker sakti hy.lehaza jin baton ka zikir ab tak pichli posts me hoa hy.in per amal hi ap ko kamyb bana sakta hy.
TASAWUR!
jab ap programing k leye bethy to is ka wo hi tareqa hy.jis tarah hum meditaion ki tayyari k leye bethty hen.pehly khud ko pur sukoon ker len.ta k ap la shaor se conect ho saken.jab ap mehsos karen k ap kafi pur sukoon ho chuky hen.to ab ap programing k leye tyyar hen.money attraction k hawaly se to kafi tafseeli bat ho chuki hy.wo sab is law ka hi hisa hy.lehaza hum money attraction ki bat is mazmoon me dobara nahi dohraen gy,
ap ko malom hona chaheye k ap ka goal kiya hy.jesa k me arz ker chuka k shuro me apna goal chota rakhen.ya ager bara goal set ker hi leya hy.to phir esy choty choty hison me taqseem ker len.or choty hisy se attraction shuro karen.
maslan ap ki khuwahish hy.k ap ek makhsos comopani ka mobail fhon ap k pas ho.to tasawur me ap us k image ko jis qader wazhy ker sakty hen.karen.
or jo date ap ny set ki hy.tasawur me dekhen k aj ye date hy.or mery pas ye mobil phon mojod hy. is mobail ko hat me le ker is ki sakhti ko mehsos karen.is k mukhtalif butan press karen.buttan press karny se jo awaz peda ho.usy sunen.tasawur me is set se kisi se bat karen.or haqeqe khusi k jazbat lany ki pori koshish karen.ap ye programing 15 minut ya jitni zada kerna chahen ker sakty hen.

ek boht ehum bat ka zikir bhi keye deta hon.ta k ap bunyadi bat ko samajh len.
wo ye k humara brain five senses [sunna / dekhna / chona / soghna / zaeqa [test] ] per her information ko store kerta hy.
lehaza kisi tarah bhi koshish karen k tasawur me ye five senses ka ap is temal kar len.jesa k me bata chuka k humara maqsad ye hy k kisi tarah bhi humra zehan in baton per yaqeen ker le.ya k hum asani se kisi bhi cheez ko attract ker saken.
i9s law k tehut ap taqreeban her shy ko attract ker sdakty hen.jesy /money / gher / car / job / bussines / taluqat / achy usaf / shrat / waghera waghera.
me ny taqreban tamam hi bunyadi baton ka zikir ker deya he.or tasawur me ap jis qader isy ghera ker ty jaen gen. ya five senses ka is temal karen gen.to kamyabi k imka nat barh jaty hen.
ek misal or de deta hon.maslan ap se koi naraz hy.or ap usy manana chaty hen.to tasawur me khud ko us k sath betha hoy dekhen.baten kerty hoy .hansi mazaq kerty hoy.hat milaty hoy.galy milty hoy. ek sath khty pety hoy.ab is tasawur me jis qader bhi baton ka zikir hoa hy.yani hat milana / hansi /mazaq/ khna pena / galy milna waghera /.in dsab ki sath sath haqeqe feelings laty jaen.or khushi ka izhar kart jaen.
is taerah ager ap kisi job k leye programing ker rahy hen.to is tarah arenn.k ap subah uthy . tyyar hoy.offic pohchy./ derwaza khola.to derwazy k khulny ki awaz ko mehsos karen.ander dakhil hoy.kisi ny ap ko welcome kaha or hat milaya to ab us k hat ki girip mehsos karen.us ki hunsi k tabadly me ap bhi muskuraen.or is hunse or muskurahut ko suny mehsos karen.apni jagha per bethe,to chear per bethny se jo awaz peda ho esy mehsos kare,office ki dewaron per kon sa color howa hy.dekhen.table per rakhe files ko hat me utha ker dekhen.in k wazan ko mehsos karen.file khol ker parhny ki koshish karen k kiya likha hy.or sath sath khushi k jazbat ubharty jaen.yani yahan bhi five senses per information leny ki koshish karen.
jo ehum bat me bata chuka hon usy zeror yad rakhen.k jab bhi taswur karen/to zehan me ho k esa haqeqat me ho chuka hy.esa na sochen k agy esa ho ga.
esi tarah ager kisi achy gher ki khuwahish hy.to bikul esi taran .k jesa gher jis jagha ap chaty hen.bikul ap ko hasil ho chuka hy.or is gher ki keys ap k hat me hen.pehly baher khary ho ker is gher ko baher se dekhern.or khushi k jazbat laen.phir is gher k lock ko khol ker ander dakhil ho jaen.ort ek ek cheez esy dekhen jesi ap chaty hen.dewaron per hat pheren.is k sakhti ko mesos karen.gher k mukhtalif kumron me jaen. gher me mojod cheezon ko utha ker apni marzi ki jagha rakhen .nay gher ki smeel ko mehsos kare.waghera waghera.

isv tarah ap apni khuwahis k mutabiq jis cheez ko attract kerna chahen ker sakty hen.
lekin programing k sath action k hikmaty amli zeror honi chaheye.jo bhi ap le sakern.

mera khayal hy k jis hud tak me asan tareqy se samjha sakta tha.me ny is ki pori koshish ki he.phir bhi kisi ko koi bat samajh na ay.ya ki makhsos chez k leye porograming pochana chahen.to zeror poch len.is k ilaa bhi jo bat samajh na ai ho zaeror pochen.
ALLAH AP SAB KO APNY TAMAM HI NEK MAQASID ME KAMYAB FERMAE>AMEEN

LAW OF ATTRACTION ! [PART 3]:

MERI koshish to ye hi the ,k is topic ko do hison me mukamal ker don.lekin jo point ab tak zikir ker chuka hon.or tamam ter baekeyan jo me janta hon.jab in points ko likhny betha hon to silsila deraz hi hota chala jaraha hy.janhan tak kisi bhi cheez ko attract kerny ki bat hy.to us hawaly se practice ka bayan na hi zada taweel hy.or na hi mushkil. lekin is tarah ki koi bhi practice kerny k bad akser log jo apni nakami ka zikir ker rahy hoty hen.to is ki bunyadi waja ye hoti he.k unhy malom hi nahi hota k wo ker kiya rahy hen.goya khud un ka apna concept hi wazhy nahi ho pata.jis ny jesy keh deya kerny lagty hen.is se qata nzer k me kiya ker raha hon.or meri is practice k pechy kiya procec ho raha hy.or me is practice me kamyab kesy hon ga.is tarah ki baton se la ilmi derasal nakami ki waja ban jati he. lehaza me ny in ka bayan bhi zarori samjha.dosri bat is topice k hawaly se ye he.jo mery is mazmon my ek tarah se izafi noeyat rakhti hy.wo ye k me apny parhny waly ko ye bhi bata raha hon .k derasal ye law kam kis tarah kerta hy.ap keh sakty hen.k ye mery is mazmon ki infradeyat hy.ager me chahata to sirf bunyadi mashq ka bata deta.or baqi baten [jin me mery apny tajurbat bhi shamil hen] hazaf ker deta.lekin me apni pori suchai k sath ye chata hon .k apny parhny waly ko andhery me na rakhon.or jahan tak meri ilmi heseyat hy.us k pesh e nazer zada se zada cheezon ko bayan ker sakon. apny mazmon ki taraf any se pehly ek or bat bayan kerna chata hon.k me shuro me zikir ker chuka k me mazmon ki tyyari se pehly kisi qisim ka paper work nahi kerta.or nahi bad me esy save kerta hon.jab likhny bethta hon to mutaliqa baten or tajurbat zehan me ana shuro ho jaty hen. mumkin hy k bad me is hawaly se kuch likhon to boht se baten hazaf ho jaen.lehaza guzarish he k is mazmon ko save ker len.or ager ap ko kahin by ter tebi nazer ay to taerteeb bhi de len.me dawa to nahi kerta.lekin itna zaror hy k is mazmon me ,me ny ab tak boht se baten likh de hen.jo aam tor per trainer zikir hi nahi kerta.ya us k khud apny tajurbat is my na kafi hoty hen.baqi in baton per amal kerna ya na kerna ap ki marzi per hy.
Ab hum aty hen apny mazmon ki taraf.
jESA k kal ki post me me ny zikir kiya k shuro me choti cheezon se shuro karen.or jab tak maqsad hasil na ho jay us waqt tak practice jari rakhen.is ki ek bari waja to ye hy k jo bhi ap apna goal set kerty hen.jab tak ap me us goal ko attract kerny jitni energy na peda ho jay.ap ka goal ap ko hasil na ho ga.maslan ap ka goal ek mobile phone hy.or ap musalsal is k leye programing ker rahy hen.to jab tak energy level per us mobile k baraber ya us se zada energy ap me nahi ho gi.ap us mobile ko attract nahi ker saken gy.lehaza apna energy leval barhhaty jaen.
energy level kin cheezon se barhy ga?
energy level k leye ap jo bhi programing ker rahy hen.is se ap ka energy level barhy ga.is k ilawa muslims k leye un ki ibadat jesy namaz .esi tarah zikir o azkar ya durod shareef ki kasrat se bhi is energy level ko barhaya ja sakta hy.tahum me apny parhny walon ko namaz or kasrat se durood sharef parhny ko khon ga.zikir o azkar me baz o qat log boht zada takrar shuro ker dety hen.jo her zikir k leye bila ijazat sahi nahi hota.is bat ko note ker len ye bat her koi ap ko nahi batay ga.k in zeryon se energy level barta hy.wo bhi law of attraction k leye.

programing!
jab ap mind power k zerye kisi bhi chez ko attract kerny ki practice kerty hen.ya esi tarah meditation me kisi bhi cheez ka tasawur kerty hen.to derasal esy hum programing kehty hen.
1/is me pehli cheez hy.kisi cheez ka khayal hona.k ap ko kis cheez ki zerorat he.jis ko ap attract kerna chaty hen.

2/khayal ya derasal khuwahis k leye ap me kitni shidat hy.yani ap ki khuwahish me by panha shiddat honi chaeye.yani esa na ho k age kamyabi ho gai to theek.werna koi bat nahi.esi soch ap ko nakam banati hy.

3/Jazbat [feelings] jab ap programing karen to khushi k esy jazbat ka hona k jesy haqeqat me ye cheez ap ko mil chuki hy.derasal asal hamara la shaor sahi ya ghalat me ferq nahi kerta.is mano me k ager ap k samny maslan koi zaeqy dar dish mojod hy.to shaor is ka image la shaor ko de dega.k waqe atan dish mojod hy.lekin ager esi koi dish mojod naho.to shaor is ka image la shaor ko nahi de saky ga.kiyon k shaor mantaqi hota hy.jo shy samny ho.usy manta hy.ya qubool kerta hy.jab k ap ankhen band ker k la shaor ko usi dish ka image bhejen to la shaor is per yaqeen ker le ga.chahy ye dish haqeeqat me mojod na ho.kiyon k la shaor gher mantaqi hota hy.ap jo bhi image esy den.ye qubool ker le ga.or us image se mutaliq feelings peda ker dega.
bas esi pattran per hum ek esi shy ka image la shaor ko dety hen.jisy hum hasil kerna chaty hen.or bar bar esa ker k hum derasal la shaor ko hi ye yaqeen dila rahy hoty hen.k haqeeqat me ye shy mery pas mojod hy.or bilakhir ye shy humary pas a jati hy.

4/Action. ager hum ibtedai baton per amal ker rahy hen.to is k bad kisi na kisi satah per humy action bhi lena chaheye.maslan ager ap job k leye programing ker rahy hen.to is k bad koi na koi actiion zeror len.maslan ap is silsily me apny kisi janny waly se job k leye keh sakty hen.ya mutaliqa jagha per apni cv bhej sakty hen.ya akhbar me job talash ker sakty hen.ek pograming kerny wala kiyon k jo energy usy action se peda kerni chaheye.ek tarah se wo pehly hi wo programing k zerye peda ker raha hy,lehaza esy shukhs ka mamoli action bhi bara kar ger hota hy.kiyon k wo pehly hi usy attract ker raha hy.

5/NATEJA .is k bad ap k samny nateja ajata hy.lekin ye bat yad rakhen k mumkin hy k ap ki soch se bilkul mukhtalif tareqy se ap ko wo cheez mil jay.lehaza sirf cheez k husool per nazer rakhen.

programin jin hison per mushtamil hy mukhtaseran ye hen.
1/khayal ya khuwahish 2/jazbat feelings ya khuawahish ki shidat

3 Amal [action]
4/ Nateja.

programing k hawaly se ye bhi yad rakhen.k jo bhi ap goal set karen.esy k leye kuch waqt zaror ty kare,yani is sal ya is mah ya agly mah waghera.
esy tarah ager kisi bary goal k leye ap kafi mudat rakhty hen.to phir is bary goal ko choty choty hison me tabdeel ker len.maslan ek shukhs ager pesy ka goal rakhta hy.or us ka ye goal hy.RS> 50.00.000. or is maqsad k leye wo do teen sal ka target rakhta hy.to ab usy chaheye k is goal ko sal or mah ki bunyad per devid ker len.or choty hisy k husol se shuro kare.yahan tak k apna bara goal hasil ker le.
programing k doran jo bhi tasawurat ap ny kiye.akhir me in ko khud se door ker den.west waly kehty hen. k khula me is sary taswur ko akhir me uchal den.yahan tak k ap ki nazron se ghaib ho jay.
is tarah bhi ker sakty he.lekin zada behter ye hy k jis tarah hum dua kerny k bad ALLAH per chor dety hen.bilkul esi tarah is sary tasawur ko bhi akhir me ALLAH ki taraf bhej den.
or tasawur me dekhen k jis date per ap apna goal hasil kerna chaty thy.us date ko ye goal hasil ho chuka hy.
ya is tarah karen k jab programing k leye bethen to tasaswur karen k jesy aj hi wo sal ya date hy.or aj wo cheez mujhy hasil ho chuki he.
yani tasawur ki energes ko khud me hold nahi rakhna. inhy kisi na kisi makhsos date per hota dekhna hy.

[mazeed waqt mujhy ijazat nahi de raha.BAQI INSHALLAH kal tehreer karon ga.zehmat ki mazrat]
[JARI HE}

LAW OF ATTRACTION ! {PART 2}:

guzishta post me jin baton ka zikir kiya gaya.in ka khulasa ye he.
1. ye kaynat or is me mojod her shy yahan tak k khud humarara apna wujod roshnieyon [energes] per mushtamil he.

2.humara her khayal jo bhi humary zehan me ata he.ya jo kuch bhi hum az khud sochty hen.wo bhi der huqeqat roshni hi per bais he.

3.aam tor per humara zehan yukso na hony ki waja se zrhan se nikalny wali ye khayalat ki roshniyan zehan se nikal ker bikher jati he.

4.meditation ya esi tarah ki kisi bhi mashq k zerye derasal hum bunyadi tor per apny zehan hi ko yukso kerny ki koshish kerty hen.

5.hamara zehan jab kisi bat per yaqeen ker leta he.ya koi bhi khayal jab humary zehan ki gherai me chala jata he.to wo apny tamam ter khudo khal k sath zahir ho jata he.

6.ek shukhs jo apni mehnat k zerye cheezon ko hasil keraha he.der huqeqat wo shukhs bhi mehnat [action] se energy hi ko peda keraha hota he.or der asal ye energy hi ki waja se cheezon ko hasil ker pata hy.

7.zehan se jo khayalat ki roshniyan nikalti hen.in me ek tarah ki magnetice power hoti he.lekin jab zehan muntashir ho to ye roshniyan zehan se nikal ker bikher jati he.ye esy hi he k jesy ap kisi magnet k tukry ko zerat me tabdeel ker den.is taran magnet ki kaseyat to zerat me rahy gi.lekin us ki qowat e kashish kum ho jay gi.esi tarah jab khayalat ki ye roshniyan zehan se nikal ker bikher jaen.to in me attraction ki power kum ya boht kum ho jati he.meditation ya is qisim ki dosri mashqen sirf ye madad deti hen.k zehan yukso ho jay.ta k ye khayalat ki roshniya yukja ho jaen.in roshniyon [energes] k yukja hony ki sorat me qowat e kashish me izafa ho jata he.or jesy jesy ap apny ander zehani yuksoi barhhaty jaty he.to goya ap in khayalat ki roshniyon ko zada se zada qowat dety jaty hen.

yahan tak jab ap ny bayan ki gaen baton ko samajh leya hy.to ab agy bayan ki gaen baton ko bhi achi tarah zehan nasheen ker len.
ENERGY KA law ye he k "ek jesi energes ek dosry ko like [attract ] kerti hen.
maslan ager ap k samny ek gulab ka phol ho to ap us ki khushbo ko basani songh sakty hen.lekin ager ap k samny ghulab ka phol naho to kiya ap ye khushbo mehsos ker saken gen.?
bilkul jab ap gulab k phool ka tawur kar ke is ko khushbo kitaraf zehan laen gy.to yaqeenan ap is khushbo ko mehsos ker len ge.kiyon k tasawur me ap gulab k phol ki energy ki taraf mutawajy hoy.to natejy me energy k law k tehut ap ye khushbo songh sakty hen.

jab ap apny zehan ki taqat se kisi bhi cheez ko attract kerny ki koshish kerty hen.to is k leye pehli ehum cheez ap k ander wafir miqdar me energy ka mojod hona zarori he.
dosri bat ye k ap ka zehan yakso ho.ta k energes yukja hon.jis se in ki magnetice power barhy.
is k bad ap k ander yaqeen ki taqat bhi ho.ager is tarah se ap apni mind power k zerye kisi bhi cheez ko attract ker rahy hen.to ap ka shaor jo rukawaty peda ker sakta he.wo ye he."k is mashq se kiya ho ga." "maloom nahi kamyabi ho ge bhi ya nahi." "pata nahi is tarah hota bhi he ya nahi."waghera waghera.ye tamam bate jo shaori tor per ap k zehan me peda ho sakty hen.ya esi tarah ko mazeed or baten.ye sab ap ko nakam kerny k leye kafi he,in se chutkary k leye ap ko khud me yaqeen ki taqat peda kerni ho gi.lehaza jab bhi programing karen.to pory yaqeen k sath.ye yaqeen energy k sath mil ker ap ko boht jald kamyabi dilata hy.
is dono baten jo me ny zikir ken, in ko zehan me rakhen.k 1.energy ka mojod hona.jitni zada energy k sath zehan yukso ho ga.ap k zehan ki magnetice power zada ho ge,
2.energy k sath yaqeen ki qowat.jo ap k shaor ki mixing ruky ge.tabhi ap apna koi bhi goal hasil ker paen ge,
yad rakhen k me yaha sirf yaqeen [belive] hi ki bat ker raha hon. yaqeen e kamil [faith] ki bat nahi ker raha hon.kiyon k faith ka derja boht ala he.ager kisi me yaqeen e kamil peda ho jay to phir karamat ka zahor hota he.lekin ager hum sirf yaqeen ya man leny tak hi koshish karen .to kamyabi baherhal ho jati .ager chy baz logon k leye ye amer bhi bara dushwar hota he.kiyon k jab un se kaha jata hy k maslan koi shukhs ek khas company ka makhsos mobile k leye programing ker raha he.to jab usy ye kaha jata hy k meditation me us mobile ka tasawur ker k zehan ko yaqeen dela do k ye tumhary pas haqeeqat me mojod hy.to baz logon k leye ye bara dushwar hota he.
jab k ager kisi me ye salaheyat he.k wo mehaz tasawur me khud ko ya zehan ko khushi ki feelings k sath ye yaqeen delany me kamyab ho jata hy.to esy shukhs ko mazeed kisi dosri mashqon ki zerorat nahi reti.

jab kisi khas cheez k leye programing karen.yani apny kisi bhi goal k leye.or energy ko store kerny lagen. to is bat ka bhi khayal rakhen k energy ko bila maqsad k zaya na kare.energy ko zaya kerny waly boht se awamil hen.jesy her waqt fikir mand rehna./ ya bina maqsad fuzool sochty rehna./boht zada ghusa kerna / boht thaka deny waly kam kerna.ya boht zada jinsi awamil waghera.in tamam baton se buchen.

jab bhi kisi cheez k husol k leye programing karen.yad rakhen k sirf ek waqt me ek cheez k leye programing karen.ek se zada cheezon per ek sath kam kerny se energy jo ap k maqsad k husol me madad deti he.but jay ge.natejy me energy power kumzor ho jay ge.or maqsad hasil na ho saky ga.ye boht ehum bat he.esy yad rakhna chaheye,.

jab boht se logon ko is tarah ki cheezon ka ilm hota he.to wo esy boht short samajkh ker jo bari ghalti kerty hen.wo ye k shuro me hi kisi bari cheez ky husool k leye programing kerna shuro kerdety hen.jo bilkul ghalat he.ek nay shukhs ko ibteda me choti choyi cheezon k husool se mashq ka aghaz kerna chaheye.ta k kamyabi k natejy me un ka yaqeen mazeed barh jay.

LAW OF ATTRACTION ! {PART 1 }:

IS mazmon me , meri koshish ho ge. k tamam ter baten jahan tak me bayan ker saka ,bayan kerny ki koshish karon.lekin kiyon k me kisi bhi mazmon k leye pehly se paper work nahi kerta,lehaza jo bhi baten mazmon k hawaly se mery ilm me hoti hen.ya mery zati tajurbat hoty hen.unhen man o an bayan ker deta hon.esi sorat me mumkin hy k koi bat zikir se reh jay.ager esa mujhy mehsos hoa.to bad me zeror zikir ker don ga.ager chy law of attraction ko me sirf ek line me bayan ker sakta hon.lekin kiyon k aam shukhs k leye shayad itni gherai me jana or us per ghor kerna.qadry mushkil ho ga.lehaza me khoshish karon ga k apni taraf se ek ek bat tamam ter gherayion k sath bayan ker don.is qader tafseel kiyon k ek hi post me dena kafi waqt talab kam he.or phir parhny waly per bhi bar na ho.is leye is mazmon ko me do hison me bayan kerna chahon ga.umeed hy jo log esy samajhna chahen gen.wo ibteda se hi tamam baton ko achi tarah zehan nasheen karen gy.is doran ager post k hawaly se koi bhi sawal zehan me ay.to ap zaror poch len.

Ager law of attraction ko ek line me bayan kiya jay to is tarah bayan ker sakty hen.
" jo bhi khayal zehan me gherai me chala jata he.wo zahir hojata he."
yani tamam ter zahiri khado khal k sath humary samny ajata hy.is se qata nazer k khayal acha he ya bura.usool tabdeel nahi ho ga. khayal acha hy ya bura ap k leye faedy ka sabab he.ya nuqsan ka.lekin jab bhi koi khayal ap k zehan ki gherai me jany me kamyab ho jay ga.wo zahir ho jay ga.ye humara brain function he.jo ALLAH ny takhleeq kiya hy.lafz takhleeq se ek bat ye bhi zehan me aei.k "law of attraction " ko " law of creation " k nam se bhi jana jata hy.dono me bunyadi tor per koi ferq nahi he.

Esi tarah ek or tarah se bhi is law ko bayan kiya ja sakta he.
k......" jab humara zehan kisi bat per yaqeen ker leta he.to usy creat ker deta he,"
ye ek esa process he ager esy samajh leya jay.to kisi bhi cheez ko attract kerny k leye humy her dafa ankhen band ker k bethny ki zarorat nahi ho ge.hum chalty phirty bhi basani cheezon ko attract kar rahy hon gen.
OR ye bat is law k hawaly se yad bhi rakhni chahjeye k law of attraction sirf ankhen band ker k apni khuwahishat ko attract kerny ka nam bikul nahi he.bal k dunya me jo log bhi jis me ,me or ap sab log shamil hen.jo bhi mehnat kisi bhi cheez k husol k leye kerty hen.ya jis qisim ki palaning kerty hen.der haqeeqat is palaning or mehnat k natejy me jo kuch bhi unhy hasil hota he.ye sab bhi kisi tarah bhi law of attrction se bahir nahi he.kiyon k mehnat k natejy me bhi jo cheez peda hoti he.wo energy hi he.lekin kiya ferq hoga ek esy shukhs me jo apni mind power ka istemal kerna chata he.cheezon k husol k leye.us me or ek esy shukhs me jo is tarah k law se waqif hi nahi hy.or wo sirf mehnat per yaqeen rakhta he.

koi bhi shukhs chahe is law se waqif ho ya naho.derasal wo jesy mehnat k zerye hasil ker raha he.bunyadi tor per wo energy hi k zerye apni matloba shy hasil ker raha he.ager esa shukhs kahy k me apny pesy k zerye ye cheezen hasil ker raha hon.to pesa bhi derasal energy k siwa or kuch nahi.wo zerya jesy wo pesa keh raha he.wo kis tarah us k pas aya.jab kisi shukhs ki tamam ter tawajo pesy k husol ki taraf ho jay.or us k khayalat me ya zehan me her waqt ya din ka zada ter hisy me pesy ka khayal rahy.to is ka matlab he.k wo pesy ko attract ker raha he.ab chahe wo anjany me esa ker raha ho.lekin is law me tabdeeli nahi ay ge.k janny waly ko is law se faeda ho ga.or na janny waly ko nahi ho ga.yaqeenan law me tabdeeli nahi ay ge.

is hawaly se ye bat yad ker len k ye kaynat jis me hum mojod hen.or is me mojod her her shy roshni [energy ] k ilawa or kuch nahi.yahan tak k khud humara jisim bhi der haqeqat roshni [energes] per mabni he.jisy hum "lateef jisim' ya "aura" bhi kehty he.

Esi tarah ye bat bhi samajh len k humaray tamam hi khayalt roshni ki sorat me zehan me aty hen.or roshni hi ki sorat me zehan se kharij hoty hen.humary brain se her waqt khayalat ki waves nikalti rehti hen.or ye waves brain se nikal ker fiza me bikher jati hen.khayalat ba mani hon ya by mani.dono me ek hi amal hota he.k ye khayalat roshniyon ki sorat me humare dimagh se nikalty rehty hen.lekin ye khayalat brain se jab nikalty hen. to khayalat ki ye roshniyan nikalny k bad fiza me bikher jati hen.ager kisi tareqy se zehan ko yukso ker leya jay to hum energy level per basani chezon ko apni janib khench sakty hen.

humary khayalat jo roshniyon se bany hoty he.yad rakhna chaheye k jab ye muntashir hony k bajay yakja ho jaen.to in k ander ek khas qisim ki magnetice power posheda hoti he.khayalat ya zehan yukso hony ki sorat me ye magnetice power boht barh jati he.jis waqt esa ho jay.us waqt ap ka law of attraction bhetreen kam kerta he,

Esy boht se tajurbat hum me se taqreeban her ek hi ko hoty rehty hen.k jesy kisy azeez ya dost ka achanak khayal aya or kuch der bad pata chala k o azeez ya dost khud agay.ya un ka phone hi agaya.
ya ek dum kisi cheez k bary me socha to foran wo hi mamla ho gaya.esy moqy per hum kehty hen k "me is waqt kuch or mang leta."
to is tarah k boht se waqeat hum seb hi k sath hoty rehty hen.jinhen hum mehaz itefaq keh dety hen.jab k ye bat yad rakhni chaheye k is kaynat me "itefaq" nam ki koi cheez mojod nahi he.her cheez ek qaedy ek zabty k tyhut jari o sari he.or ye sara nizam ALLAH HI ka banaya hoa he.bas hota ye hi k us lamhy kisi na kisi to humara zehan az khud ya is ki energes az khud yauk so ho jati hen.or nateja ye hi hota he k jo bat zaban se nikalti he ya zehan me zada wazhy hoti he.wo pori ho jati he.jab k law of atractiion me ya meditation me hum or kuch is k siwea nahi kerty k hum apny muntashir zahan ko yukso banany ki koshish kerty hen.or esa pursukoon halat me kerty hen.kiyon k zehan k yukso hony ka matlab ye he k khayalat ki jo roshniyan zehan se nikal ker fiza me bikher ker zaya ho rahi hen.wo jab yukso ho jaen gen.to ye roshniya zaya hony se buch jaen gen.natejy me hum apny zehan ko apni kamyabiyon k leye sahi se istemal ker sakty hen.
[Jari he]

AKSER log boht zada mayosi ka shikar hoty hen:

AKSER log boht zada mayosi ka shikar hoty hen.in ka kehna hota he.k hum chahey jitni koshish ker len.lekin esy khayalat aty rehty he.ya baz loogn ki zindagi me boht si nakameyan hoti he.wo in nkamiyon se tot sy jaty hen.bajay is k, k wo agy ki taraf sochen un ka zada ter waqt mazi ki nakameyon ko sochty hoy guzar jata he.ya dosron ny jo kuch in k sath na insafeyan ki hoti hen.wo her waqt un k taraz e amal hi k bary me sochty rehty hen.k fulan ny fulan waqt mery sath ye kiya.wo kiya.
is tarah ki sorat e hal me khud in ki apni zindgi me ek jamod sa ajata he.esy log mustaqbil se zada mazi me hi rehny lagty hen.apni achaeyon se zada apni kohtaeyon per zada sochty rehty he.
is sorat e hal se nikalna boht zarori hota he.werna ye un ka taraz e amal unhy depression me mubtala ker sakta he.
ager chy is sorat e hal se nikalny k boht se tareqy zaror mojod he.lekin me yahan ek asan or sada sa tareqa arz kiye deta hon.zarori he.k esy log rozana is practice ko karen.to boht achy nataij aty he,
Ap ki jitni bhi mayos kun sochen or khayalat hen.ya jo bhi nakameyan hen.ya esi tamam baten jin ko ap samajhty hen.k ye ap ki taraqi me rukawat hen.rozana ek paper per in sab baton ko likh len.mukhtaser ker key.or is tarah ki jitni bhi baten hen in sab ko likhen.or likhny k bad in papers ko jala den.or inhen khud apny samny jalta hoy dekhen.
is tareqy se ap khud me ek tawanai se mehsos karen gen.ager roz na ker saken to week me teen bar is per amal zaror karen

JO log jobs kerty hen.ya sales ki field se taluq rakhty hen.to log bhi pesa kumany k leye apni mind power ka istemal ker sakty he:

JO log jobs kerty hen.ya sales ki field se taluq rakhty hen.to log bhi pesa kumany k leye apni mind power ka istemal ker sakty hen.jis k zerye inhy ya to pehly se achy job mil sakti he.ya job me taraqi k imkanat barh jaty hen. esi tarah jo log apni sales me izafy k leye mind power ka istemal kerna chahen.to in k leye bhi taraqi k bary mawaqy barh jaty hen. is hawaly se jo meditation ki exersice he wo bikul usi tarah he.sirf kuch tabdeeli k sath.maslan jo log chaty hen k inhy in ki mojoda job se zada behter job mil jay.inhy chaheye k wo jis tarah ki job chaty hen.is ka tasawur kaen.or khud ko is job ko kerty hoy dekhen.is k leye apny zehan me koi waqt muqarar karen.jesy do /teen ya chy mah jo bhi ap chahen is job k leye ek waqt set ker len.or roz is meditaion ko keren.is k ilawa din bher me jab jab ap ko moqa mily ap is job k bary me is tarah sochen,k jesy wo job ap ko haqeqat me mil chuki he.or haqeqi khusi ka hona bhi boht zarori he.meditaion me tasawur ko ghera karen.yani jis jgha ap job k khuwahish mand hen.is post per khud ko betha hoa dekhen.office me khud ko kam kerty ho dekhen.office ki ek ek cheez ko feel karen.
esi tarah ager job me taraqi chaty hen.to tasawur me khud ko is post per betha hoy dekhen.or khushi k jazbat laen.
ager ap sales se taluq rakhty hen.to zada behter he k subaha or sham ko is hawaly se meditation karen.is me ap ny is tarah sochna he.k jo mbhi mahana ap is field se kamaty hen.or mazeed ap ki inkum barh nahi parahi.to ap ko chaheye k ap khud ko ek makhsos target den.ya jitni inkum k khuwahish mand he.usy not ker len.or roz is tarah sochen k ap ki sales me izafa ho chuka he.jis qader ap chaty hen.is tasawur ko mazeed ghera karen.or tasawur me dekhen k agly maha ap k haton me ap ki matloba raqum hy.or ap esy dekh ker khushi ka izhar ker rahy hen.ye khushi haqeqat per mabni honi chaheye.is raqum ko hat me mehsos karen.esy songhen[smel] .
jin baton ka zikir kiya gaya. in me chand baton ko zaror mahoz rakhen.kiyon k ye asal chabi [key] hen.is excersice ki.
1/ jis cheez k leye mashq ker rahy hen.to is me is tarah na sochen.k ya cheez mujhy hasil ho jay. ya hasil ho jay ge. nahi bal k is tarah sochna he k ye mujhy hasil ho chuki he.or me is se mehzoz ho raha hon.

2/jab tasawur karen masalan job /taraqi / ya sales me izafy ka. to jis qader ap tasawur ko ghera ker sakty hen,karen.is ka tareqa ye hy k maslan ap taraqi k khuwahish mand hen.to khud ko us post per mojod paen.office k logon se ya apny matehuton se bat kerty hoy khud ko dekhen.office me mojod files ko khol ker dekhen.telefhone sunty hoy khud ko dekhen.office me aty hoy or jaty hoy khud ko dekhen.esy tarah jo bhi ap ki khuwahish he.is k mutaliq tasawur ko jis qader gherai me dekh saken dekhen.

3/ jazbat [feeling] laen.esy khusi k jazbat jesy haqeqat me ho sakty hen.

4/khud ko esa kamil yaqeen dilana he.k waqai ye cheez mujhy hasil ho chuki hen.

5/kisi bhi cheez k husol k leye ek waqt zaror rakhen.maslan ager ap sales se wabasta hen.to kum az kum agly mah ko zehan me rakh ker sochen.k agly mah se mujhy ye matloba income hona shuro ho gai he.jab ap jo bhi mah ya sal set ker len to is tarah mashq karen k jesy aj hi ye sal or mah he.k jis waqt mujhy ye hasil ho chuki he,

5/ ya tasawur k bad is image ko khula ya fiza me uchal den.yani is se la taluq ho jaen.

6/sirf meditation hi me na sochen k ap ko wo cheez hasil ho chuki he.bal k din bher me jis qader bhi ap ko moqa mil jay to esa hi sochen.or khushi ka izhar karen.is doran jab k ap bahir kisi jagha ya office waghera me hon to sochny k leye zarori nahi k lazmi ankhen band ke jaen.ap bagher ankhen band keye bhi soch sakty hen

OUT OF BODY EXPERIENCE !:


OUT OF BODY EXPERIENCE !
Ager ap out of body experience kerna chaty hen.to me is ka boht asan or sada sa tareqa arz keye deta hon.ye tajurba ap chaen to meditation me ya phir let ker bhi ker sakty hen.is k leye sirf ap ko apny zehan ka istemal hi kerna hy.meditation me ya phir let ker khud ko pehly relax ker len.jab ap pusukoon ho jaen.to phir apny jisim per tawaju karen.or kisi esi jagha ka sochen jahan ap jana chaty hen.ya kisi apny qarebi dost waghera se mulaqat kerna chaty hen.
phir tasawur karen k ek dum ap ka aura ap k jisim se nikal ker perwaZ kerny laga he.or dil me ye khayal rakhen k mera aura fulan jagha fulan shukhs k pas pohanch jay.phir ap tasawur ki nigha se apny aura ki perwaz ko dekhen.yahan tak k jis maqam ya jis shukhs k pas ap apny aura ko bhejna chaty hen,wo wahan tak pohanch jay.jab ap ko wo shukhs nazer any lagy.ya us shukhs ka tasawur qaim ho jay.or khud ko us k pas dekhen to ab ap usy koi bhi pegham ,jo ap dena chahen. de den.ya usy koi bhi suggestion dena ho to wo bhi de den.
ap is waqt not ker sakty hen k us shukhs ny kesy kupry pehan rakhey hen.ya wo is waqt kiya ker raha he. ap bad me is tajurby k bad us se phon k zerye poch sakty hen.k kiya us ny esy hi kupry pehny hen.ya us waqt wo jo bhi kam ker raha tha.usy bata ker tasdeeq karen.ya us se pochen k us waqt us k zehan me koi bat aei the.ager wo ap ki baton ki tasdeeq ker deta he.to ap apny tajurby me kamyab ho gay hen.lekin ager nakami ho jay to mayos na hon.ye practice jari rakhen.
Esi tarah ap kisi taqreeb me bhi ,jis me ap ki dawat de gai ho.or ap shirkat na ker saken hon.to is taqreeb me bhi ye tajurba ker sakty hen.is tarah ki taqreeb me ap apny janny walon ki herkat note karen.or ye note karen k kis ny kesy kupry waghera pehan rakhen hen.or phir bad me is ki tasdeek bhi un se zaror karen.

Is tajurby ka sub se acha istemal ye hy.k ager ap logon ko heal ker rahy hen.or ap sy kaha jata hy k fulan jagha fulan shukhs ko energy deni he.to ap bilkul esi tareqy se apny aura ko alg ker k tasawur me apny aura ko us mareez k pas mojod paen.or tasawur me us shukhs k ser per hat rakh ker usy energy dena shuro karen.or phir us sy pochen k usy ferq mehsos hoa.
yad rakhen k humara aura jesy hum jisim e lateef bhi kehty hen.ye mukamal tor per roshniyon se bana hoa he.or roshniyon ya energes k leye time n space ki koi qaid nahi.ye ek boht dilchusp tajurba he.jisy ap bhi basani ker sakty hen.


DOUBLE YOUR INCOME TRANING PROGRAM ! [4TH n LAST DAY]:


DOUBLE YOUR INCOME TRANING PROGRAM ! [4TH n LAST DAY]
Me umeed kerta hon ,.k ab tak is traning k hawaly se jo kuch bataya ja chuka he.wo is trabning me hisa leny walon ny achi tarah zehan nasheen ker le hon gen.
ab tak ap ny jo belifs apny tabdeel keye ya kerny ki koshish ker rahy hen.esi trah apni valeus me ap pesy ko no1 se no3 tak lay hen.inhe yad rakhny or dohrany ka ek boht acha tareqa ye he k inhy kahin likh len.jisy ap roz parh saken ya ek nigha hi in per dal saken.in yad rakhny or motivation hasil kerny ka ye boht zaber dust tatreqa he.

LAST EXCERSICE of MONEY ATTRACTION !
Ye bat ap is traning k shuro me jan chuky k ye kaynat or is me mojod her her shy roshni [energy] se murakub he.yani her shy yahan tak k khud humars jisim bhi derhaqeeqat roshneyon se mil ker bana he.
is k bad ye bat bhi batai jachuki k energes ka qanon [law] ye he k ek jesi energes ek dosry ko like kerti hen.ya attract kerti hen.
is bat ko youn samjhen k maslan ager ap kisi chutkhary dar cheez ka tasawur karen.jo k ap k samny mojod na ho.to bhi tasawur k sath hi us cheez ka zaeqa ap ki zaban per ajay ga.esa energy hi ki waja se hota he.k jesy hi ap kisi khany wali cheez ka tasawur bandhty hen,to energy level per wo zaeqa foran ap ki zaban per ajata he.ya ap ka la shaor jo k beleving k usol per kam kerta he.foran us cheez ka zaeqa ap ki zaban per mehsos kerwa deta he.
esi tarah ye bat bhi ap ny jan le k pesa bhi der haqeqat energy hi he.lehaza jab dosri or cheezon ko attract kiya ja sdakta he.to lazman pesy ko bhi mind power k zerye attract kiya jasakta he.

ye mashq ap ny medetion me kerni he.ager ap koi meditation ker rahy hen.to wo kerty rahen.jab ap apny meditation se fargh ho jaen.to meditation se baher na aen.bal k apny meditation k bad ek ghera sans len.or 5 to 1 count karen.dil me.1 ginny k bad ap ab is meditation ko shuro ker sakty hen.jis ka tareqa ye he.

k tasawur karen ....... k ap ek boht bary kumry me mojod hen.or is kumry me by inteha pesa 'not" hen.goya k peson ka boht bara dher mojod he.or ap is pesy k samny khery hen.ab ap tasawur me apny dono hat khol den.yani haton ko pehla len. or dil hi dil me kahna shuro karen k " I AM MONEY MAGNET " or is k sath hi tasawur karen k wo not ya pesa ur ur ker ap ki taraf araha he,or ap k jisim se chipak raha he.is jumly ko dil me dohraty rahen.or tasawur rahy k pesa ur ur ker araha he. kuch der k bad ab dil me kahen k "boht asani se or tyezi se mery pas pesa araha he".' is k sath hi pesa any ki speed tez ho jani chaheye. phir ye alfaz bar bar dil me dohraty rahen .is k dermeyan phir ap kahen k"I AM MONEY MAGNET", is tarah in lafzon ko bar bar adal badal ker dohraty rahen.
is doran jab tasawur me pesa ur ker ap k jisim se chipukny lagy to ap ko khushi k jazbat lany hen.wo jazbat jab haqeeqat me ap k pas jis qader ap chahety hen.pesa mojod ho to ap ko kis qader khushi ho gi.bas unhi jazbat ko lana hy.
is k bad tasawur me apny jisim se chipukny waly noton ko hat me len.or not k kaghaz ko ungleyon se choen.or is ki ser srahut ko mehsos karen.tasawur me not per ki hoi chupai ko dekhen.yahan tak k is ki chupai ap per wazhy ho jay.k kiya likha he.jab tasawur karen to bary noton ka tasawur karen.is k bad in noton ko songhny ki koshish karen.or in ki smel ko mehsos karen k noton ki smel kesi he.maqsad ye k jis qader gherai me ja ker tasawur ker sakty hen karen.or sochen k ap ny jo apna goal rakha he.pesy k hawaly se .wo ap ko hasil ho chuka he.or wo khushi k jazbat laen jesy haqeqat me ap ko ho gi.jab ap k haton me ye dolat ho.
bas ye mashq zada lambi nahi he.ap rozana esy taqreeban 20 minut tak ker sakty hen.
chund zarori baton ka khayal rakhen.
jis qder gherai me taswur ker sakty hen karen.
khushi k jazabat haqeeqat wali khusi jesy hi hona chaheye.ye is mashq ki boht ehum bat he.yani esi khushi k humara la shaor in jazbat se samajh le k haqeeqat me ye dolat hasil hoi he.jis waqt la shaor ko yaqeen ajay ga.ye dolat ap k pas ho ge.
is tarah k khayalat her giz na laen k ye kesy mumkin he.k sirf tasawur se esa ho jay ga.ager ap ye sawl zehan me laen gen.to esa mumkin hona ruk jay ga.
mashq kerny k bad is tamam tasawur ko khud se door ker den.is k kai traqy hen.ya to is tasawur ko fiza me uchal den. yahan tak k wo tasawur ap ki nigha se ujhal ho jay.
ya jis sal maheny or tarekh ko ap apna goal hasil kerna chaty hen.mashq k bad is sal or tareekh ko tasawur me likha dekh ker ye tamam tasawur is tareekh per pest ker den.

is ka ek or asan tareqa bhi he.yani jis waqt ap ye mashq karen,to tasawur karen k aj hi wo sal or tareekh he.maslan ap RS.500.000 hasil kerna chaty hen.july 1ft 2015ko. to mashq kerty waqt ye taswur zehan me rakhen k aj hi julu1st 2012 ki tareekh he,or aj ap ko apna goal hasil ho chuka he.or phir roz esa hi kerna he.

is bat ka khayal rakhen ksirf ye mashq hi nahi kerni.bal k is k leye ap ny koshish bhi ker ni he.lekin ap is mashq ko kerny k bad ek aam admi ki nisbat boht asani se apna goal hasil ker le gen.kiyon k is tarah ap ibtedai mehnat pehly hi ker chuky hon gy.lehaza action boht zarori he.lekin ap ka boht mamoli sa actiobn bhi boht se faedon se khali naho ga.ager ap ne is traning per sahi se amal kiya.

jab ap apna goal set karen or is k leye baqeda mashqen shuro kerny lagen.to khud se ye eyhad bhi karen k jis waqt mujhy mera goal hasil ho jay ga.to is dolat me, me zarorat mandon ko bhi shamil karon ga.ager ho saky to wesy bhi jab asani ho sadqy ki adat dal len.

me ny apni taraf se sabhi bunyadi baton ki wazahut tafseel se ker de he.ager phir bhi ap k zehan me koi bhi sawal is hawaly se ho to zaror bila jhejuk poch len.me ap sab ki kamyabi k leye dua go hon.ap bhi mujh haqeer ko apni duaon me yad rakhen.
·

DOUBLE YOUR INCOME TRANING PROGRAM! {TEESRA DIN}:

·

DOUBLE YOUR INCOME TRANING PROGRAM! {TEESRA DIN},
JO LOG is traning me hisa le rahy hen.in sab ka me boht shuker guzar hon.or in sab k leye dua go bhi!umeed he is traning k hawaly se jo bhi baten ab tak ki ja chuken hen.in baton ko ap ny achi tarah zehan nasheen ker leya ho ga,ager ho saky to inhe note ker len.pehly jo baten ab tak batai gae hen. in ko achi tarah samajhna boht zarori he,is traning k hawaly se ab tak koi bhi sawal ap k zehan me ho to ap zaror poch sakty hen.


AB is merhaly per ap ny pesy k hawaly se goal set kerna he.jo bhi ap goal set karen esy ap kisi paper per likh len.esy share kerny ki zarorat nahi he.goal st k hawaly se sirf kuch bunyadi baton ka me zikir keye deta hon.inhy zaror malhoz ra...khen.
1 goal esa hona chaheye jo qabil e amal bhi ho.
2 jab goal set karen to is k leye zaror koi muddat [time] lekhen.yani kitny arsy me ap ye goal hasil kerna chaty hen,
3MASLAN AGLY SAL JOLY TAK AP KITNA PESA KUMANA CHTY HEN.
4WO KON SA ZERYE HO GA JIS ZERYE SE AP YE PESA KUMANA CHATY HEN.
5KIYA IS PESY KO KUMANY K LEYE AP KOI KAROBAR KERNA CHTY HEN. YA AP K PAS KOI HUNER HE.
6. AGER KAROBAR KERNA CHATY HEN.TO KIYA AP K PAS IS KAROBAR K LEYE DERKAR SERMAYA HE.AGER NAHI TO KIS ZERYE SE SERMAYA HASIL KAREN GEN.
AGER AP KOI HUNER MAND HEN.TO KIYA AGLY SAL [YA JO BHI AP NY MUDDAT RAKHE HE.] AP APNY HUNER SE YE PESA KUMA SAKTY HEN.

7. AGER HUNER SE NAHI KUMA SAKTY HEN TO PHIR KON SA TAREQA ISTEMAL KAREN GEN.
8.KAROBAR YA JOB ME AP KO KIN M,ASAIL KA SAMNA KERNA PER SAKTA HE. OR IN K HAL K LEYE AP KIYA KAREN GEN.
9 .KAROBAR YA JOB ME IS PESY KO KUMANY K LEYE AP KO KITNI MEHNAT KERNA HO GE.KIYA AP YE MEHNAT KER SAKY GY.

10.NUQSAN KI SORAT ME AP KIYA KAREN GEN.

11. KAROBAR ME AGER DERMEYAN ME MAZEED SERMAY KI ZARORAT
HOI TO KIYA KARE GY.

12 ,AGER KAROBAR BARHNY LAGA TO ESY KIS TARAH SAMBHALEN GY.

13. KAROBAR YA AGER KOI SERVICE AP DENA CHATY HEN.TO IS DORAN AGER DUSHWAREYA OR MUSHKILEN PESH AEN TO KIS TARAH IN SE NIMTY GEN.

14 JO PESA AP AGLY SAL JOLY TAK KUMANA CHATY HEN. TO IS AP KI MATOLOBA RAQM KI MAHANA AMDANI KIYA HO SAKTI HE.

15 AGER KOI KAROBAR KERNA CHAHTY HEN TO IS K LEYE AP KO KITNY MULAZIM RAKHNY HON GY.

16 ZADA MASROFEYAT KI SORAT ME ARAM K LEYE WAQT KESY NIKALEN GY.

16 JIS QADER PESA BHI AP AGLY SAL TAK KUMANA CHATY HEN.IS WAQT AP KI MOJODA INCOM KIYA HE.

17 GOAL K HAWALY SE AKSER LOG YE KEHTY HEN K JITNA CHAHY BARA GOAL SET KER LO.LEKIN KIYON K HUM ACTION K SATH YE PESA APNI MIND POWER K ZERYE BHI HASIL KERNA CHATY HEN.LEHAZA ME BOHT SE TAJURBON K BAD AP SE YE HI KAHON GA K AP SHURO ME BOHT ZADA BARA GOAL NA RAKHEN.PEHLY KHUD KO CHOTA TARGET DEN.KIYON K BARY TARGET K LEYE AP K ANDER ZADA BARI MIND POWER KA HONA ZARORI HE.LEHAZA SHURO ME CHOTA GOAL SET KAREN,IS ME KAMYABI BHI ASAN HOTI HE.OR ETMAD BHI BAHAL HO JATA HE.PHIR AP AHISTA AHISTA BARY GOAL KI TARAF JASAKTY HEN.

IS TARAH IN BATON KA KHAYAL RAKHTY HOY AP APNY PAS HI KISI PAPER APNA GOAL LIKH LEN.OR IN BATON KA ZAROR KHAYAL RAKHEN.AM TOR PER LOG KEH DETY HEN K AP JIS QADER BARA GOAL SET KER SAKTY HE,LEKIN IS ME BOHT SE BAREKEYAB HE,JINHEN SAMAJHNA BARA ZARORI HE.ZADA BARY GOAL K LEYE AP K PAS ZADA BARI ENERGY HONI CHAHEYE.

KAL HUM INSHAALAH IS TRANING KA IKHTETAM KAREN GEN.KAL HUM AKHIR ME IS TRANING K BOHT HI EHUM HISY KA ZIKIR BHI KAREN GEN.WO YE K AP KIS TARAH MIND POWER K ZERYE PESY KO ATTRACT KER SAKTY HEN.OR IS KI BAQAEDA MASHQ BHI BATADE JAY GE,LEKIN IS SE PEHLY JIN BATO KA ZIKIR LIYA GAYA AB TAK YE SAB BATEN ACHI TARAH AP K ZEHAN ME HONA CHAHEYEN.TAB HI AP IS TRANING SE FAEDA HASIL KER SAKEN GEN. [JARI HE]


DOUBLE YOUR INCOME TRANING PROGRAM [dosra din ];


DOUBLE YOUR INCOME TRANING PROGRAM [dosra din ]
jo log is traning program me hisa le rahy hen.in sab ko me khushamdeed kehta hon.or in k leye dua go bhi hon.jo log ab bhi is traning me hisa lena chaty hen.to unhen chaheye k wo kal ki post ko zaror dekh len.post me jin belifs ka zikir kiya gaya he.dolat k bary me zikir kiya gay belif me se koi bhi belif wo rakhty hon.to kal ki post k comments box me tehreer ker sakty he.is k bad wo is hawaly se jo aj ki post he.is me shamil ho sakty hen.ye bat yad rakhny ki he k hum sirf "ZADA HALAL DOLAT " k husol ki bat ker rahy hen.mind power k zerye.

DOLAT k hawaly se kal jin belifs ka zikir kiya gaya.derasal ye tamam hi belifs ghubat se na nikalny waly ya zada halal dolat k husol me rukawat hen.yaqeenan sirf is tarah k sirf ye hi belifs nahi hen.or boht se ho sakty hen.zaro...rat is bat ki he k in se aghahi ho.ta k ap jan saken k kon kon se ap k esy belifs hen.jo zada dolat kumany ki rah me rujawat ban sakty hen.

bazahir in me se boht se belifs esy hen,jin k bary me belif rakhny wala ye hi samajhta he k ye sahi hen,jab k gheri nazer se ager dekha jay to derasal ye ye belifs ghareeb [ povert belifs ] hen.
ager ap zada halal dolat chaty hen.to inhy gheri nazer se dekhen.or inhen tabdeel karen.tab hi ap dolat k bary me sahi rawaya apna sakty hen.or tab hi ap zada dolat ki taraf mail ho sakty hen.werna nahi.

belif ki tabdeel kerny ka tareqa ye he.k jis belif ki tabdeel kernna he.us ki jagha naya belif ikhtiyar ker leya jay.yani musbat belif ko zehan me betha leya jay.is me zada mushkil ap ko derpesh ho to.ap ankhen band karen or nay belif ko teen martaba roz dohraen.musalsal mashq se purany belif ki jagha naya belif ajay ga.

in belifs ko tabdeel kerna kiyon zarori he.is leye k pehli cheez esy hi belif hoty hen.jo humy zada agy bargny se rokty hen.is bat ko is tarah bhi samjhen k maslan mery belif me ye bat he hi nahi k karachi koi sheher he.ab jab k dunya kehti rahy k karach ek shyher he.lekin me karach nahi jaon ga.kiyon k mery zehan me ye bat he k karachi nam ka koi shyher he hi nahi.
to kehna ye he k jab tak dolat k bary me humary aqed sahi nahon gen.hum us waqt tak us k leye sahi simth me koi qadam nahi utha sakty .dersasl esy hi belifs pehli waja hoty hen.zada dolat kumany k bary me.or yad rakhna chaheye k belifs her cheez k bary me hoty hen.sahe ya ghalat.lekin kiyon k hum yahan sirf dolat ki bat ker rahy hen.lehaza dolat k bary me hi belifs ka zikir kar rahy hen.
maslan kisi shukhs ka bekif he k 'zada dolat ka matlab zada pareshani.
to ab ghor talab bat he k jis shukhs ka ye belif ho ga kiya wo zada pareshani peda kerny wali cheez ki taraf jay ga.yaqeenan ,her ghiz nahi.jab tak wo apny is belif ki tabdeel na ker ly.

Ab tak jin cheezon ka zikir kiya gaya ager is hawaly se ap k zehan me koi sawal ho to ap wo bhi ker sakty hen.
ab ek choti se mazeed mashq me de raha hon.is me bhi ap logon ny hisa lena he.


zindagi me boht se cheezen ehmeyat rakhti he, jesy izat / khandan /syhut / pesa / mazhub / hifazat / taleem / sukoon / falah k kam.

jin cheezon ka zikir kiya gaya yaqeenan ap ki zindagi me in ki ehmayat ho ge.ap ny sirf ye ker na he.k no ...wise likh ker batana he.k in me sy ya is k ilawa bhi jo ap ki zindagi me baten ehmeyat rakhti hon.in ko sirf no wise 1...2 ....3 ker k batana he k in me se kon se cgheez ap ki zindagi me no 1 per he.esi tarah no 2 per ap kis bat ko ehmeyat dety he.is tarah in baton ki tarteeb ap ny khud banani he.yani ap k nazdeek jo zada ehmeyat rakhte he.usy no 1 per likhen.phir jo ap k nazdeek pehli se kum ehmeyat rakti he.esy no 2 per likheye.

no 1................

no2................


no 3..........

no4..........

no5......
...
no 6........

no 7........ no 7.......... no 8.............

ye traning program abhi jari he.baqi KAL .INSHALLAH

·

DOUBLE YOUR INCOME TRANING PROGRAM BY MIND POWER!> AGER AP MIND POWER :


AB is merhaly per ap ny pesy k hawaly se goal set kerna he.jo bhi ap goal set karen esy ap kisi paper per likh len.esy share kerny ki zarorat nahi he.goal st k hawaly se sirf kuch bunyadi baton ka me zikir keye deta hon.inhy zaror malhoz rakhen.
1 goal esa hona chaheye jo qabil e amal bhi ho.
2 jab goal set karen to is k leye zaror koi muddat [time] lekhen.yani kitny arsy me ap ye goal hasil kerna chaty hen,
3MASLAN AGLY SAL JOLY TAK AP KITNA PESA KUMANA CHTY HEN.
4WO KON SA ZERYE HO GA JIS ZERYE SE AP YE PESA KUMANA CHATY HEN.
5KIYA IS PESY KO KUMANY K LEYE AP KOI KAROBAR KERNA CHTY HEN. YA AP K PAS KOI HUNER HE.
6. AGER KAROBAR KERNA CHATY HEN.TO KIYA AP K PAS IS KAROBAR K LEYE DERKAR SERMAYA HE.AGER NAHI TO KIS ZERYE SE SERMAYA HASIL KAREN GEN.
AGER AP KOI HUNER MAND HEN.TO KIYA AGLY SAL [YA JO BHI AP NY MUDDAT RAKHE HE.] AP APNY HUNER SE YE PESA KUMA SAKTY HEN.

7. AGER HUNER SE NAHI KUMA SAKTY HEN TO PHIR KON SA TAREQA ISTEMAL KAREN GEN.
8.KAROBAR YA JOB ME AP KO KIN M,ASAIL KA SAMNA KERNA PER SAKTA HE. OR IN K HAL K LEYE AP KIYA KAREN GEN.
9 .KAROBAR YA JOB ME IS PESY KO KUMANY K LEYE AP KO KITNI MEHNAT KERNA HO GE.KIYA AP YE MEHNAT KER SAKY GY.

10.NUQSAN KI SORAT ME AP KIYA KAREN GEN.

11. KAROBAR ME AGER DERMEYAN ME MAZEED SERMAY KI ZARORAT
HOI TO KIYA KARE GY.

12 ,AGER KAROBAR BARHNY LAGA TO ESY KIS TARAH SAMBHALEN GY.

13. KAROBAR YA AGER KOI SERVICE AP DENA CHATY HEN.TO IS DORAN AGER DUSHWAREYA OR MUSHKILEN PESH AEN TO KIS TARAH IN SE NIMTY GEN.

14 JO PESA AP AGLY SAL JOLY TAK KUMANA CHATY HEN. TO IS AP KI MATOLOBA RAQM KI MAHANA AMDANI KIYA HO SAKTI HE.

15 AGER KOI KAROBAR KERNA CHAHTY HEN TO IS K LEYE AP KO KITNY MULAZIM RAKHNY HON GY.

16 ZADA MASROFEYAT KI SORAT ME ARAM K LEYE WAQT KESY NIKALEN GY.

16 JIS QADER PESA BHI AP AGLY SAL TAK KUMANA CHATY HEN.IS WAQT AP KI MOJODA INCOM KIYA HE.

17 GOAL K HAWALY SE AKSER LOG YE KEHTY HEN K JITNA CHAHY BARA GOAL SET KER LO.LEKIN KIYON K HUM ACTION K SATH YE PESA APNI MIND POWER K ZERYE BHI HASIL KERNA CHATY HEN.LEHAZA ME BOHT SE TAJURBON K BAD AP SE YE HI KAHON GA K AP SHURO ME BOHT ZADA BARA GOAL NA RAKHEN.PEHLY KHUD KO CHOTA TARGET DEN.KIYON K BARY TARGET K LEYE AP K ANDER ZADA BARI MIND POWER KA HONA ZARORI HE.LEHAZA SHURO ME CHOTA GOAL SET KAREN,IS ME KAMYABI BHI ASAN HOTI HE.OR ETMAD BHI BAHAL HO JATA HE.PHIR AP AHISTA AHISTA BARY GOAL KI TARAF JASAKTY HEN.

IS TARAH IN BATON KA KHAYAL RAKHTY HOY AP APNY PAS HI KISI PAPER APNA GOAL LIKH LEN.OR IN BATON KA ZAROR KHAYAL RAKHEN.AM TOR PER LOG KEH DETY HEN K AP JIS QADER BARA GOAL SET KER SAKTY HE,LEKIN IS ME BOHT SE BAREKEYAB HE,JINHEN SAMAJHNA BARA ZARORI HE.ZADA BARY GOAL K LEYE AP K PAS ZADA BARI ENERGY HONI CHAHEYE.

KAL HUM INSHAALAH IS TRANING KA IKHTETAM KAREN GEN.KAL HUM AKHIR ME IS TRANING K BOHT HI EHUM HISY KA ZIKIR BHI KAREN GEN.WO YE K AP KIS TARAH MIND POWER K ZERYE PESY KO ATTRACT KER SAKTY HEN.OR IS KI BAQAEDA MASHQ BHI BATADE JAY GE,LEKIN IS SE PEHLY JIN BATO KA ZIKIR LIYA GAYA AB TAK YE SAB BATEN ACHI TARAH AP K ZEHAN ME HONA CHAHEYEN.TAB HI AP IS TRANING SE FAEDA HASIL KER SAKEN GEN. [JARI HE]
·

HUMARY zehan ki kai sathy [states] he.jin me BETA / ALPHA / THETA / OR DELTA , bunyadi states hen.her insan in state of mind se her din ghuzarta he:

HUMARY zehan ki kai sathy [states] he.jin me BETA / ALPHA / THETA / OR DELTA , bunyadi states hen.her insan in state of mind se her din ghuzarta he,ek meditation k talib e ilm ko in se agha hona bara zarori he.ta k wo samajh saky zehan k kam karny k tareqy ko.muhaqeqeen ny her state me zehan ki raftar per sec bhi batai he.jin ko yad ker lena chaheye.

BETA //// jis waqt hum so ker bedar hoty hen.or mo hat dho ker frash ho jaty he.or phir apny kamon me lag jaty hen.yani pori tarah mutaheriq [action] me ajaty hen.is waqt humary zehan ki raftar 14 cycles per second se 21 cycles per se...cond tak ya is se bhi zada ho sakti he.is state of mind ko hum "BETA" kehty hen.is state of mind me hum her jismani km boht achy andaz se anjam de sakty hen.

ALPHA//// jis waqt hum zara pursukon hony lagty hen.khuwa thakan k sabab ya az khud meditation waghera k zarye khud ko relax kerna shuro karen.ya neend ka ibtedai marhala yani halka sukon mehsos karen.to is waqt humary zehan ki raftar me kumi any lagti he.is state of mind me humary zehan ki raftar 7 cycles per second se 14 cycles per second tak ho jati he.is state me hum halky sukon se mehzoz hoty hen.is state of mind ko ALPHA kehty hen.meditation me sochny k leye ye ek ideal state he.is state me hum takhleqi ideas per boht behter soch sakty he.is state me az khud bhi boht achy ideas aty he,masail ka hal bhi hun soch sakty he.or apni roh se bhi rehnumai le sakty he,neend se pehly hum is state se ghuzar jaty hen.jab k meditation me hum is state me thyher sakty hen.
Ager ye kaha jay k aj jitni bhi sance taraqi he.wo zehan ki esi state me jany se mumkin hoi to ghalat na ho ga.kiyon k ek scince dan jab bhi kisi cheez per ghor kerta he.ya koi bhi shukhs jab bhi kisi masly per musalsal ghor kary ga.to wo khud ba khud zahen ki esi state me chala jay ga.or takhleqi ideas zehan ki relax state [alpha / theta ] hi me aty hen.esi tarah shair hazrat jab sher kehty hen.tab bhi wo inhi state me hoty he.jisy wo aam tor per amad ka nam dety hen.esi tarah mosawir hazrat bhi jo takhleqi art jisy kehty hen.wo bhi zehan ki inhi states ki karishma sazi he.
her insan meditation k zerye in state of mind se istefada ker sakta he.

THETA//// jab hum sony k leye tyyar ho jaty hen.or bister per let jaty hen.to sony se pehly halki ghonodgi hoti he.ya halka sukon hota he.jis ka zikir hum ker chuky k is state ko alpha kehty hen.bas sony se pehly hum is state me thyher nahi paty.or ba tadreej neend me chaly jaty he.jab k meditation me hum is state me apni merzi se thyher jaty hen.
to pehly halki ghunodgi k bad ye ghunodgi gheri ho jati he.ya meditation me jab hum ghery sukoon me chaly jaty hen.ya phir hypnosis me hum ghery sukoon me chaly jaty hen.to is waqt humary zehan ki raftar 4 to 7 cycle per second ho jati he.is moqy per hum ghery sukon me hoty hen.
ye state of mind hypnosis me ideal state kahi jati he.is waqt humara la shaor jagty hoy bhi shaor per ghalib ajata he,
is moqy per her tarah ki musbat suggestion khud ko ya kisi dosry ko hum de sakty hen.meditation me hum kisi bhi project per kam ker sakty hen.or meditation me jagty hoy hum ghery sukon se mehzoz ho sakty hen.

DELTA///// gheri ghunodgi k bad hum so jaty hen.is moqy per humary zehan ki raftar 1/2 to 4 cycle per second tak ho jati he.ager chy is state ko rohaneyat ka darwaza kaha jata he.lekin neend ki halat me jo cheezen bhi humy nazer ati hen.akser wo isharon ki shakal me hoti hen.baz o qat bilkul wazhy bhi hoti hen.lekin jo kuch bhi humy khuwab ki shakal me dekhai deta he.ye wo malomat hoti he.jo roh k zrye ati he.or in me boht kuch baten posheda hoti hen.jinhy samajhna boht zerori he.is state me humara aura safer per nikal jata he.is ki ek waja to ye he k neend ki halat me khayalat ka wo silsila jo hum khud se sochty rehty hen.ruk jata he.natejy me cosmic energy bherpor andaz se jisim me stor hony lagti he.lehaza is waqt humara jisim bhi boht halka ho jata he.natejy me humara aura safer per nikal jata he.
meditation ya hypnosis me ager koi shukhs alpha theta se ghuzer ker delta me chala jay. [aam tor se boht se logon k sath esa hota he.] to meditation or hypnosis ka amal kar ger nahi hota.kiyon k in dono me la shaor k ghalby k sath shaor ka bedar rehna bhi zerori he.or neend ya delta state me shaor mukamal tor per muatal ho jata he.

MURAQBA:

MARAQBY ki halat me humara aura us waqt tak safer per nahi nikalta jab tak jisim me cosmic energy bharpor andaz me zakhera [store] na ho jay.or cosmic energy jab tak sahi tor se jisim me store nahi ho pati jab tak zehan pori tarah yukso na ho jay.zehan ko yukso kerny k leye ap alg se yuksui k leye boht se mashqen ker sakty hen.


zaehan ko yukso kerny k leye ap nukta beni ya daera beni ker sakty hen.
is k leye ap kii card bord per kisi marker se ek dot ya daera bana len.phir pursukon andaz se beth ker taqreeban teen feet k fasly se esy bagher pal...uk jhupkay dekhen.ya mashq ap 5 minut tak karen.zehan boht yukso ho jay ga.
is k ilawa apni sans k any jany per ghor karen.yani khuli ankhon se nak k sorakhon per nigha jamaen.or sans k any jany ko dekhen.apni marzi se sans ahista ya taiz na len.bas is per ghor karen.

JO log susti or kaheli ka shikar hon.ya chaty hon k sara din active rahen.or jo log bila wajy khof ka shikar hon.

JO log susti or kaheli ka shikar hon.ya chaty hon k sara din active rahen.or jo log bila wajy khof ka shikar hon.jin logon me himat o hosly ki kumi ho.inhy chaheye k red color ki energy ko zakhera karen.yani red color ka maraba karen.


IS meditation ka tareqa wo hi he.jo me pichli post me blue color ki barish ky meditation me bata chuka.
yani ap ny tasawur kerna he.k ap khuly asman k nechy mojod hen.or red color ki barish boht taiz ho rahi he.or ap is barish me bheeg... rahy he.or barish k qatron ko jisim me jazb karen.
ye meditation bhi 20 minut se zada na karen.sath me is tasawur ka izafa bhi ker len.k sath sath jisim ki andoroni kasafaten bhi peron k rasty jisim se nikal rahe hen.
behter he k ye maraqba subha k waqt ya maghrib k bad ker len.yani sony se pehly na karen.kiyon k is meditation se baz o qat boht zada energy any se neend nahi ati.jab me kabhi ye meditation kerta hon.to sara din thukan ka ehsas nahi rehta.or baz o qat to do do din neend nahi apati.lehaza ehteyat rakhen k ya to subha k waqt ye meditation karen.ya aser ya maghrib k foran bad kar len.
hart k mareez ye meditation her giz na karen.or jo sehut mand log bhi ye meditation karen wo bhi mustaqil na karen.jab dekhen k kafi active ho chuky hen.to tark ker den.
ye hi meditation sex power bhi peda kerta he.lehaza baz o qat tabeyat me jinsi rujhan bhi barh jata he.lehaza mustaqil ye meditation her giz na karen.han zarorat k tehut shadi shuda hazrat bikul ker sakty hen

JO log meditation shuro kerna chaty hen:

JO log meditation shuro kerna chaty hen.in ka meditation shuro kerny ka maqsad kcuh bhi ho.inhy chaheye k blue color barish k tasawur se shuro karen.kiyon k meditation ek zehni amal he.or blue color zehni salaheyaton ko barhata he.lehaza maqsad khuwa khufya salaheyato ki bedari ho ya rohaneyat ka husool , dono k leye pehly zehni salaheyat ka pukhta hona bara zarori he.

TAREQA asan he.meditation se pehly jin cheezon ka hona bara zarori he.un me mahol ka pusukon hona , ager khli jagha ho to boht acha he.werna kisi kumry me bhi meditation bilkul ker sakty hen.roshni zra kum ho.phir is jis tarah ap ...k leye asani ho,beth sakty hen.lekin nashist esi naho jis se ap ko neend ajay.or na hi meditation let ker karen.kiyon k neend or meditation ko yukja nahi hona chaheye.
is k bad koi bhi sans ki mashq pehly zaror karen.
phir ankhen band ker k apny ek ek uzo ka nam le ker esy pursukon kerty jaen.jesy k " mera zehan pursukon horaha he" meri peshani pursukon ho rahi he." esi tarah tamam aza ka dil hi dil me nam le ker esy pursukon karen.or jisim ko jis qader ho saky dheela chor den.
is k bad ap tasawur karen k ap kisi khobsorat jagha per bethy hen.khuly asman k nechy.or boht taiz blue color ki barish ho rahi he.or is barish me ap mukamal tor per bheeg rahen hen.or barish k qatry ap k jisim me bhi jazb ho rahy hen.
ye meditation 20 minut tak karen.or taqreeban do se teen mah tak yehi meditation kerna he.
is meditation se na sirf ap ki zehni salaheyaten barhen gen.bal k ap ki tabeyat me josh or walwala bhi peda ho ga.her waqt andoroni khushi ka ehsas boht numaya mehsos karen gen..

CHAKRAS me kasafat ya rangon ki kumi beshI:

CHAKRAS me kasafat ya rangon ki kumi beshi hi zehni or jismani bemareyon ka asal subab he.boht zarori he k pehly merhaly per chakras ki safai per khasa waqt rozana ki bunyad per ladaya jay.third eye k khulny me bhi chakras ki kasafat bari rukawat he.chakras ki safai k hawaly se ek tareqa darakht ki safai k unwan se pehly zikir ker chuka hon.mazeed ek dosra tareqa bhi note ker len.

YE tareqa pehly tareqy ki nisbat kafi asan he.lekin thori ehteyat zaror ki jay.jis tarah zikir kiya jarah he.usi k mutabiq amal kiya jay.
Tareqa.......> tasawur karen apny pehly chakry ka.jis ka color purple he.jab ap pehly chakry k...a taswur karen gen.to pehla chakra ap k samny ajay ga.zarori nahi k bhot wazhy ho.bherhal jis tarah bhi samny ajay.ye na sochen k ye chakra he bhi ya nahi.
bas jis tarah bhi samny ay.pehly is per ghor karen.ap chahen to tasawur me esy jis qader bara kerna chahen.ye utna hi bara ho jy ga.ab is chakry me dekhen k kasafat kis qadar he.ye kasafat ap ko black spots ki shukal me bhi nazer asakti he.ya kisi or tarah bhi.
jab ye kasafat ap per numaya ho jay.to ab ap apny zehan k irady se esy saf kerna shuro karen.jesy kisi sheeshy ko ap kisi kapry se saf karty he.lekin is me tasawur me hat ka istemal bilkul na karen.bas zehan ka irada istemal karen.ager ghalti se bhi hat ka istemal karen gen,to ye sari kasafat ap k hat me muntaqil ho jay ge.lehaza is bat ka boht khayal rakhen.
sirf zehan k irady se safai kerty rahen.taqreeban 5 minut tak.
ap chahen to esi tarah her chakry ki safai ek k bad ek ki kerty jaen.ya roz sirf ek chakry ki safai bhi karen.to bhi sahi he.or safai kerny k bad chakry ko dekhen k kiya tabdeeli AAei.
bilkul ye hi tareqa kisi dosry k chakras ki safai ka he.bas is me ap khud k bajay us shukhs k chakras ka tasawur karen gen.or safai zehan hi k irady se karen gen.
kisi dosry k chakras ki safai me is bat ka bhi zaror khayal rakhen.k jis shukhs k chakras ki safai ap ker rahy he.kahen wo shukhs kisi qisim k sehri ya bad asrat ki waja se beemar ho.werna us ki safai ki sorat me wo bad asrat ap k leye pareshani khari ker sakty hen.bhetar he k her ek k chakras ki safai na karen.
yad rakhen k koi bhi chakra zehan ki satah per basani ajata he.jab ap us ka tasawur karty hen.lehaza is me pareshan na hon.

Anasir char [4th] he.jin se aam tor per hum sub hi waqif hen.:

Anasir char [4th] he.jin se aam tor per hum sub hi waqif hen.lekin ye anasir humari zindagi me kuch makhsos hawalon se kiya amal dakhal rakhty hen.is bary me kum log hi janty he.anasir k hawaly se jis mozo ko me bayan kerny laga hon.ye aam tor per ilm e nujom k tehut zery behus ata he.me zati tor per ilm e nujom ki dosri baton ka qail nahi hon.lekin me ny anasir k hawaly se ilm e nujom ka ye qaeda boht mustanad paya he.

YE anasir aag [fire] / hawa [air] / khak [earth] / pani [water] hen.jin me se her ek unser kisi bhi shukhs per ya kisi bhi shukhs k mizaj per ghalib hota he.
ilme nujom ka ye bara hi mustand qaeda he.kiyon k in anasir... me se baz anasir fitri tor per ek dosry k dost hen.or baz anasir fitri tor per ek dosry k dushman hen.
dost or dushman se murad ye hy.k baz anasir me muwafiqat he.or baz anasir me mukhalfat he.esa in anasir ki fitrat ki waja se he.maslan ek shukhs ka ghalib unser aag [fire] he.or ek dosra shukhs jis ka ghalib unser pani [water] he.to in dono me fitri tor per dushmani ya mukhalfat he.lehaza fitri tor per dono me dosti ya muhabat nahi ho sakti.kiyon k unser k mukhtalif hony ki waja se dono ka mizaj mukhtalif he.
humareha aam tor per is usool ya qaeda ko ager mady nazer rakha jay to zindagi k boht se muamlat me hum pareshni se buch sakty he.
jesy shadi k waqt larky or larki k unser ko dekh leya jay.k apas me mawafiqat he ya nahi.khud mera apna tajurba he k shadi k bad jin miyan bevi ki apas me nahi banti.to is ka andaza in k unser ko chak ker k hi ho jata he k waja kiya he.
maslan ek larki jis ka ghalib unser pani [water ho.us larki ki shadi esy shukhs se ker de jay jis ka ghalib unser aag [fire] ho to ager in ki shadi ker bhi de jay to bad me dono ki bany ge nahi.larai ghakra rahy ga.
esi tarah ager ap kisi shukhs se koi karobari shirakat ker rahy hen.to bhi is bat ka khyal rakhny se ap bad me any wali pareshani se buch sakty hen.esi tarah dosti k muamlat me bhi ap dekh sakty hen.k jo log ap k dost hen.in me se kis kis se ap ka mizaj milta he.or kis se nahi.
esi tarah ager peda hony waly buchon k unser me mawafiqat rakhi jay.do gher me behen bhaeyon me hum ahunge rahy ge.werna buchon ka mizaj ek dosry se nahi mily ga.
kehna ye he k ager zindagi k mukhtalif muamlat me anasir k dermeyan hum ahunge ka khayal rakha jay to zindagi me boht se khushgawar tabdeeleyan peda ho jati he.
is ko yon samajh len k baz anasir me ek dosry k leye attrection hoti he.or baz me nahi.
ab raha ye sawal k kesy malom ho k kis shukhs ka unser kiya he.to is k do tareqy hen.
ek tareqa tarekh e pedaish k hawaly se kisi bhi shukhs ka jo bhi burg banta he.dekh leya jay k kis burg ka kon sa unser he.is tarah ye malom ho jay ga k kis shukhs per kon sa unser ghlib he.
dosra tareqa ye he k kisi bhi shukhs k nam k pehly huruf ko dekha jay k kis huruf ka unser kon sa he.yani ji unser nam k pehly huruf ka hoga us shukhs ka ghalib unser wo hi ho ga.me zati tor per nam k pehly hurf k mutabiq unser ko zada mustanad samajhta hon.kiyon k nam mustaqil pukara jata he.



HURUF k mutabiq ansir jany k leye darj e zal chart note ker len.

AAG [fire],,,,,alif /ha / meem / tua / fy / sheen / zal

hawa [air] ,,,,,kaf / seen / qaf / jeem / zey / sey / zua .
...
khak [earth],,,,,ye / noon / suad / by / wao / ty / duad .

pani [water],,,,,,hey/ lam / Aen / rey / dal / khey / ghain.

is chart ki madad se ap apny ya kisi k bhi nam k pehly hurf k mutabiq kisi ka bhi ghalib unser dekh sakty hen.
is me khayal rahy k sirf asli nam k hi pehly huruf ko dekha jay.
maslan jesy mera nam SYED DANISH HUSSAIN he.ab mery nam me syed or hussain meri zat ya khandan ki shnakht he.jab me apna unser dekhon ga to sirf DANISH k pehly hurf DAL k zerye dekhon ga k mera unser kon sa he.jab chart me me ny dekha to malom hoa k mera ghalib unser pani [water ] he.
dosra sawal ye he k kesy malom ho k kis unser ki kis unser se mawafiqat ya mukhalfat he.to is k leye bhi ulma e nujom ny ek laga bandha qaeda hi deya he.wo ye he.

AAG [fire] or hawa [air ] me muwafiqat ya dosti he.

KHAK [eart] or pani [water] me muwafiqat ya dosti he.

AAG [fire] or pani [water ] me mukhalfat ya dushmani he.

hawa[air] or khak[eart] me mukhalfat ya dushmani he.

ye anasir ka hawaly se laga bandha qaeda he.jis k zerye ap dekh sakty hen k k kis unser ki kis unser se fitri dosti ya dushmani he.

maslan jesa k uper malom kiya k mera ghalib unser pani [water ] he.ab me kisi hawaly se bhi kisi esy shukhs se jurna ya taluqat jesy shadi / karobar / dosti waghera rakhna chata hon.to ager esy shukhs ka ghalib unser AAG ho.to mera or us ka mizaj fitri tor per nahi mil pay ga.
bas kehna ye hi he k shadi /karobar / dosti / buchon me humahunge ager hum dekhna chaty hen.to phir humy in baton ka khayal rakhna ho ga,asal me ye anasir ki tabeyat me milap ya mukhalfat ki waja fitri usol ki waja se hota he.or me ny zati tor per anasir k is qaedy ko boht hi mustanad paya he.bal k yon kehna chaheye k ager ap shadi /ya karober waghera k hawaly se kamyabi k khuwahish mand hen.to is qedy ko zaror achi tarah samajh len.
ye qaeda kis qader mustanad he.is ka andaza ap khud bhi in usool o qawaid k zarye laga sakty he.apny ya dosron k hawaly se.is me ager koi bat samajh na ay ti zaror poch len.[WALLAH O ALUM].
·

Gemstone therapy :

Gemstone therapy k yon to kai tareqy hen.jin me qudrati patharon ka istemal mukhtalif tarah se kiya jata.qudrati patharon k istemal ki waja ye he.k in patharon se jo weves nikalti hen.ye pather ring ya lokit me peheny se ye weves insani jisim me dakhil ho ker insan k aura me rangon ki kumi ko door ker dety hen.kiyon k bunyadi tor per rangon ki kumi beshi se hi zehni ya jismani masail peda hoty hen.

Ager Gemstone therapy k zerye aura ko strong kerna maqsod ho to is k leye ek asan tareqa GEmstone k hawaly se bata deta hon.
is tareqy me asali qudrati pather k bajay masnoi pather istemal ker sakty he.maqsad kiyon k aura... k colors ko behter kerna he.ya rangon ki kumi ko door kerna he.lehaza masnoi pather bhi wo hi kam karen gen.or phir masnoi pather nisbatan boht susty hotyu he.jo her ek basani khareed sakta he.
is ka tareqa bhi bara sasda sa he.
aura k colors k mutabiq ap ye pather le len.yani puple / blue / green / yelow / orenge / red ,,
rangon ki terteeb ye hi ho gi.ab ya to seedhy let jaen.ya ulty.dono tarah se let sakty hen.
sab se pehly puple pather peshani per jahan se ser k bal shuro horahy hen.rakh len.phir blue pather dono ankhon k dermeyan thir eye k maqam per /phir green color ka seeny per dil ki seedh me rakh len.is k bad yelow naf se zara uper k maqam per rakh len.phir oringe color naf se zra nechy ki janib rakhen, or akhir me oringe color se zra nechy red color ka pather rakh len.
bas ye is ka sada ssa tareqa he.masoni pather zra bary saiz k len.or dekh len k shafaf bhi hon.ye therapy ap din k kisi bhi waqt ker sakty he,ager din k waqt karen to soraj ki roshni us jagha honi chaheye.ager rat k waqt karen to bhi andhera naho.bulb waghera ki roshni zaror ho.
kum az kum bhi aam shuks jo aura ko behter kerna chahe.to usy 30 minut tak leta rahy.aam shukhs k leye zarori nahi he k wo rozana ye therapy kare.mahi me do bar ya ek bar bhi ker sakta he..

IS k ilawa her tarah k mareezon ye tareqa roz istemal kiya jay.or mareezon k leye waqt barah deya jkay.yani ek ghunty tak therapy ki jay.lekin din k waqt khuli dhop me mareez ko na letaya jay.bal k kumry hi me bas din ki aam roshni hona zrori he.

Magnet therapy:

Magnet therapy aj kal boht aam horahi he.magnet se bani hoi boht se cheezen aam milny lagi hen.yaqeenan is k boht se faedy bhi hen.magnet therapy k leye zarori nahi he.k mukhtalif brand ki ashya hi istemal ki jaen.bal k ap ager magnet therapy se faeda hasil kerna chahen.to aam magnat ka istemal bhi ker sakty he,khas tor per jisim k mukhtalif dardon [pain] ko door karny me ye therapy bari moaser he.

Is ka tareqa bara sada sa he.k magnet ko jisim k mukhtalif hison per phera jay.taqreeban 30 minut tak . magnet jisim me doran e khon ko bheter kerta he.jisim me aam tor per pain ki waja ye hi hoti he.k jis jagha khon ka d...oran sahi nahi hota.us jagha dard hony lagta he.ye bat yad rakhny ki he,k khon me oxegen bhi shmil hoti he.jin jaghon per khon ka doran sahi nahi hota he.wahan oxegen ki kumi bhi hojati he.magnet doran e khon behter ker deta he.is tarah jisim k us maqam tak oxegen bhi bahal ho jati he.
ager kisi k leye itna waqt nikalna mushkil ho.esy log magnet se bani hoi koi esi shy jesy bracelet waghera istemal ker sakty hen.is tarah is sorat me mustaqil bunyad per wo magnet se faeda hasil ker sakty he.is tarah ki ashya aj kal aam mil jati hen

SELF HYPNOSIS :

SELF HYPNOSIS ! hypnosis greek zaban ka lafz he,jis k mani hen. "neend" .lekin hypnosis k zarye hum khud per ya dosron per jo neend tari kerty hen.aam neend se is me bara ferq ye he k. aam neend jo hum lety hen.is me humara shaor mukamal tor per muatal ho jata he.jab k hypnosis k tehut neend me humara shoar muatal nahi hota.yani hum bazahir soty hoy nazer any k ba wujod jag rahy hoty hen.


AGER khud ko self hypnosis ki adat dal le jay.to ap kum waqt me boht bheter karkerdagi ka muzahira ker sakty hen.self hypnosis k by inteha faedy hen.
Ap khud ko qabo me rakh sakty hen.apny jazbat ko qabo ker sakty hen.zahani dabao ... me kumi ker sakty hen.ghubrahut per qabo pasakty hen.khud etmadi or will power me izafa ker sakty hen.ap apni skil me improvent la sakty hen.taluqat me izafa or inhy behter bana sakty hen.education me behter karkerdagi dekha sakty hen.zahanat me izafa ker sakty hen.kisi bhi moamly me sahi tajzeya ker sakty hen.yani self hypnosis ka amal ap ko her jagha kamyabi se humkinar ker sakta he,
yad rakhni ki bat ye he.k hypnosis me hum suggestion k zarye khud me tabdeli laty hen.kisi bhi masly k hal k leye sab se pehly ap ko musbat suggestion ka intekhab kerna perta he.
suggestion k hawaly se ye bat zahan me rakhen k suggestion mukhtasir ho.or zamana e hal me de jay.
maslan jab ap khud ko khud etmadi ki suggestion dena chahen.to is tarah den.k "mujh me by inteha khud etmadi mojod he."
is k ilawa suggestion me lafz "nahi " ka istemal na karen.kiyon k humara zahan lafz nahi ko filter nahi ker ta.
jesy koi shukhs smoking chorny ki is tarah suggestion de.k "me ab smoking nahi karon ga.
ab chu k lafz "nahi " to zahan filter nahi kare ga.lehaza nahi k ilawa baqi suggestion zahan qubool ker le ga.or wo ye hi ho ge.k me ab smoking karon ga.
lehaza is bat ka bhi khayal rakhen.
han is ki jagha ye suggestion ho sakti he.k "ab jab bhi mujhy smoking ki khuwahish ho gi.me fresh jose peyon ga.
bherhal ager ap kisi bhi hawaly se khud ko self hypnosis k zarye suggestion dena chahen.to pehly inhen likh len.ager ap kuch dushwari mehsos karen to mujh se bhi poch sakty hen.
bherhal ek waqt me ek cheez k hawaly se suggestion den.or ek suggestion ko ek dafa me teen martaba dohraen.or mustaqil bunyad per esy apnyen.yahan tak k jo tabdeli ap khud me lana chaty hen.wo a na jay.
suggestion dil me den.or sath sath feelings bhi laen.tone ko zra dheema rakhen.han jab khud ko strong ya khud etmadi jesi suggestion den.to tone ko zra power se dil hi me ada karen.
ye wo tamam baten hen.jin ko ap ne self hypnosis se pehly zahan nasheen kerna he.ab raha sawal hypnosis neend khud per tari kerna ya jisy hypnosis ki zaban me trans me jana kehty hen.to ye koi itna muskil kam nahi he.is ka tareqa me likh raha ho,is k zarye ap asani se khud ko trans me le ja sakty he,trans me jany ka amal bhi boht lutf angaiz he.esy ap zaror try karen.
jis tarah meditation k leye ap khud ko tyyar kerty hen.yani bthny ka andaz /pursukon mahol/ roshni ka nisbatan kum hona waghera.ye sari tyyari ap ker len.
IS k bad ap ankhen band ker k 50 to 1 counte karen.yani 50 se 1 tak ulti ginti ginna he,
ye ginti ap ny dil hi dil me boht ahista ahista ginna he.50........49...........48 ................47.....................46.....45.. boht ahista thory thory gape k sath ye ginti ginni he.
jab ap 45 per pohchen to khud ko pursukoon hony ki suggestion is tarah den.k "me boht pursukoon mehsos ker raha hon.or me sukoon ki gheri wadeyon me jata jaraha hon.yahan tak k jab me 1 ginnon ga.to mukamal tor per trans me chala jaon ga."
Is suggestion ko phir ap jab 40 per pohchen to dobara den.esi tarah 35 per phir 30 per phir25 per is k bad 20 per yani her panch bar ginny k bad ap ny ye hi suggestion dohrani he,
yahan tak k ap 1 gin len.is waqt ap per boht gheri sukoon ki halat tari ho jay gi.dekhny wala ye samjhy ga k ap so rahe hen.jab k ap ghery sukoon ki halat me bilkul jag rahy hon gy.shayad ye ap ki zindagi ka pehla tajurba ho.soty howy jagny ka.
is waqt ap ka la shaor mukamal tor per bedar ho ker shaor per ghalib ho chuka ho ga.lekin shaor mukamal tor per maghlob nahi ho ga,
is waqt ap khud ko jo bhi achi suggestion den gen.ap ka la shaor esy fooran qubool kare ga.or wesa hi zahir bhi kare ga.jo ap usy suggestion de rahe hon gen.
ab ap ka zahan tyyar he k ap esy sugestion den.lekin is se pehly ek ehteyati suggestion bhi zaror de len.wo ye k " ey mery la shoar her wo ghalat suggestion chahe wo mery ander se ay ya baher se tum usy deleat ker dena"
esy teen mertaba zaror dohra len.
ab is k bad ap ji hawaly se bhi suggestion dena chahen, de sakty hen.her suggestion ko kum az kum teen bar zaror dohraen.
jab ap sagestion de chuken.to ab trans se baher any se pehly ek ghera sans len.or 1 to 10 count karen.ahista ahista.
10 per pohanchny k bad ap ankhen khol den.
ager kisi ko is doran ghery sukoon ki waja se nend ajay to koi pareshani ki bat nahi.jis tarah insan neend se bedar hota he,bikul esi tarah sony wala shukhs bhi bedar ho jay ga.
ye self hypnosis ka tareqa tha jo me ne apno bisat bher koshish se arz ker deya he,jo faeda uthana chahen zaror amal karen.
is hawaly se ek do baten or arz keye deta hon.aam tor per log in baton me uljha dety he,or sahi bat nahi bataty.ek ye k trans me or meditation me ferq he.jo bilkul ghalut bat he,dono me koi ferq nahi he.meditation me hum kisi khobsorat manzer k tasawur k zarye zahan ki esi relax state me jaty hen.jab k hypnosis me hum ginti gin ker.[ tatrans me jany k boht se tareqy he.] jany ki koshish kerty hen.maqsad ek hi he.la shaor ko ghalib kerna.or shaor k amal dakhal ko kisi hud tak kum kerna.ap ko ager meditation me relax state me jany me esy pareshani hoti ho.to ap bilkul esi tarah ginti gin ker gheri pursukoon halat me ja sakty he.koi muzaeqa nahi.bas aam meditation me ap suggestion ki jagha kisi tasawur ko qaim kerty hen.