Saturday, January 10, 2015

CHAKRAS me kasafat ya rangon ki kumi beshI:

CHAKRAS me kasafat ya rangon ki kumi beshi hi zehni or jismani bemareyon ka asal subab he.boht zarori he k pehly merhaly per chakras ki safai per khasa waqt rozana ki bunyad per ladaya jay.third eye k khulny me bhi chakras ki kasafat bari rukawat he.chakras ki safai k hawaly se ek tareqa darakht ki safai k unwan se pehly zikir ker chuka hon.mazeed ek dosra tareqa bhi note ker len.

YE tareqa pehly tareqy ki nisbat kafi asan he.lekin thori ehteyat zaror ki jay.jis tarah zikir kiya jarah he.usi k mutabiq amal kiya jay.
Tareqa.......> tasawur karen apny pehly chakry ka.jis ka color purple he.jab ap pehly chakry k...a taswur karen gen.to pehla chakra ap k samny ajay ga.zarori nahi k bhot wazhy ho.bherhal jis tarah bhi samny ajay.ye na sochen k ye chakra he bhi ya nahi.
bas jis tarah bhi samny ay.pehly is per ghor karen.ap chahen to tasawur me esy jis qader bara kerna chahen.ye utna hi bara ho jy ga.ab is chakry me dekhen k kasafat kis qadar he.ye kasafat ap ko black spots ki shukal me bhi nazer asakti he.ya kisi or tarah bhi.
jab ye kasafat ap per numaya ho jay.to ab ap apny zehan k irady se esy saf kerna shuro karen.jesy kisi sheeshy ko ap kisi kapry se saf karty he.lekin is me tasawur me hat ka istemal bilkul na karen.bas zehan ka irada istemal karen.ager ghalti se bhi hat ka istemal karen gen,to ye sari kasafat ap k hat me muntaqil ho jay ge.lehaza is bat ka boht khayal rakhen.
sirf zehan k irady se safai kerty rahen.taqreeban 5 minut tak.
ap chahen to esi tarah her chakry ki safai ek k bad ek ki kerty jaen.ya roz sirf ek chakry ki safai bhi karen.to bhi sahi he.or safai kerny k bad chakry ko dekhen k kiya tabdeeli AAei.
bilkul ye hi tareqa kisi dosry k chakras ki safai ka he.bas is me ap khud k bajay us shukhs k chakras ka tasawur karen gen.or safai zehan hi k irady se karen gen.
kisi dosry k chakras ki safai me is bat ka bhi zaror khayal rakhen.k jis shukhs k chakras ki safai ap ker rahy he.kahen wo shukhs kisi qisim k sehri ya bad asrat ki waja se beemar ho.werna us ki safai ki sorat me wo bad asrat ap k leye pareshani khari ker sakty hen.bhetar he k her ek k chakras ki safai na karen.
yad rakhen k koi bhi chakra zehan ki satah per basani ajata he.jab ap us ka tasawur karty hen.lehaza is me pareshan na hon.

1 comment:

  1. Masood tahim nami is shakhs ne ye blog meri ijazat ke bagher banaya..or mery orignal artical mere group me add ho ker chori se yaha copy pest keye..barahey meherbani is copy master se hoshyar rahen....mere artical perhney ke leye mera fb group join kejye..https://www.facebook.com/groups/Meditation.Urdu/

    ReplyDelete