Saturday, January 10, 2015

PENDULUM tareqa or kuch haqaiq!



AJ kal mind scince k hawaly se pendulum k zarye sawalat k jawab lena bhi bhot mashor horahahe.is tareqy me yes or no ki bunyad per jawab leya jata he.bhot se log to esy itna zada istemal kerty hen.k gher se nikalty hoy ...bhi jawab lety hen.k jaon ya na jaon.her cheez me etadal hi hona chaheye.
tareqa iska ye he k koi pendulum bana len.kisi bhi cheez ka.ya jesa k tasweer me ap dekh sakty hen.is tarah ka koi pendulum bana len.lekin is ki zanjeer ya dori ki lambai 5inch rakhen.or esy uper se paker len.hat se na hily is k leye ap apni kuhni ko kisi cheez per bhi rakh sakty hen.jab ye hilna ruk jay to zahan me kahen k clock wise ghomo.thori der me ye clock wise ghomny lagy ga.clock wise ko ap yes k jawab k sath set ker len.yani jab ye kisi sawal k jawab me colock wise ghome to matlab he."yes" . phir zahan me kahen k enty clock ghomo.ye enty clock ghomna shuro ho jay ga.is ko ap "no" k jawab k sath set ker len.phir zahan me kahen k agy pechy ghomo ye esi tarah ghomy ga.is ko ap set ker saty he.k marzi he ye kam karo ya na karo.ya set ker sakty hen.k na is me faeda na nuqsan.ye jawabat ap ny pehly se set kerny hen.yani is ki movment se ap pehly se ek jawab akhaz ker len.
phir ap koi sika le ker hat me hila ker esy zameen per rakhen k bagher dekhy is per hat rakh den.or khud kahen kiya "had" he.ager pendulum colock wise ghomy to matlab had hi he.phir siky ko dekhen.ager jawab ghalat ho to pareshan na hon.esi tarah ye mashq se had or tel ka jawab lety rahen.shuro me jawab zada ter ghalat hi ata he.lekin jab ap ka jawab parectice ker ker k sahi any lagy ga.to phir ap k baqi jawabat bhi sahi hony lagy gen.is me ap kisi sawal ka jawab bhi yes or no ki sorat me le sakty hen.maslan kisi dost ne kaha k dekho shayad aj me tumhari taraf aon.ab ap jawab le sakty hen.k ay ga ya nahi.lekinjab ap ka siky wala jawab 95% sahi any lagy ga to baqi bhi sahi hony lagen gen.ye ek dil chasp tareqa he.baz log pendulum k zarye jawab ki baqaeda fees bhi lety he,or akser ye seekhny waly to bhari fees lety hen.or is me bhot jhot se kam leyty henk hum power apme muntaqil karen gy.waghera waghera.ye sab bate sirf jhot he.is me koi power mutaqil nahi hoti,bas tareqa me ne bata deya he.parectice kerna ap ka kam he.
ager iswaqt ap k pas koi pendulum nahi he.to ap gher me mojod tasbhi bhi le sakty hen. or abhi esy try karen.phly clock wise or phir enty clock wise ghmaen.dekhen k me sahi keh raha hon.ya nahi.ye ghomna to pehli martaba he ker deta he.jesa ap zahan me sochen.lekin sahi jawab pehli martaba me nahi ata.is k leye mashq kerni pare ge,
Akser log tasbhi k zarye istekhra kerty hen.ye tasbhi koi muakil nahi ghomata.jis tara baqi pendulum ghomty he.tasbhi bhi esy hi ghomti he.
ab aen is ki asal haqeqat ki taraf k ye ghomta kesy he.or jawab sahi kis tarah ata he.
ye derasal... humary khon ki gerdish se ghomta he.yad dhani k leye arz ker don k her cheez k do rukh hen.khon ki gerdish zahiri rukh he.or energy is ka batni rukh he.or ye me pehly ap ko tajurba kerwa chuka k ye energy humari soch se her kat me ati he.jab ap pendulum ki dori paker ker kahen gen k clock wise ghomo.to derasal ap k khon ya energy ki gerdish clock wise ho jay ge.esi tara enty clock bhi.
lekin abhi bhi zahan me sawal ata he k ye to hum keh rahy hen.to esa horaha he.lekin jab jawab ki sorat me jis taraf bhi ghomy ga to ye kesy.to derasal is me hum apny aura se jawab lety hen.kiyon k humara aura hum se zada ba khaber he.ye un bato ko bhi dekhny ki salaheyat rakhta he.jo humari nazer se posheda hoti he.mazi oe mustaqbil se hum se zada waqif hota he.jab hum jawab pehli martaba set ker lety hen.k clock wise ka matlab yes he to derasal ye aura me feeding he.k jab tum[aura]yes ki sorat me jawab do to clock wise ghomna.esi tarh no ka jawab.ab bat ye he k ap kilm me ye bat ho ge.k baz log kis qader shoq rakhty hen.k un ka aura un k qabo me ajay.jo yaqenan bhot mushkil amal he.ager chy na mumkin nahi.lekin ager is se jawab tak hi dosti ker le jay.to shuro me ek dum nahi manta.lekin musalsal mashq se ye razi ho jata he.kiyon k ye itni asani se qabo nahi ata [or nahi qabo kerny ki koshish karen] is leye pehly ghalat jawabat deta he.lekin ahista ahista sahi jawab deny lagta he.esy ap la shaor ka jawab bhi keh sakty he,
to ye pendulum ki haqeqat he.mashq se ap 100% dursut jawab le sakty hen.
lagy haton ek tajurba bhi kerty chlen.
dono haton ki hateleyon ko apas me joren.yani aam tor per humareha jis tareqy se mafi mangi jati he.haton ko thora sa zada ek dosry se chipkaen.thori der me ap ko apny khon ya energy ki gerdish ka malom ho jay ga k clock wise he ya e...nty clock wise.ager clock wise ho to sochen k enty clock ho jay.bilkul esi tarah ho ga.or phir kahen k ruk jay.to ruk jay gen. phir kahen k agy or pechy gerdish ho to esa he ho ga.is tajurby se ap meri bato ki tasdeeq karsaken gen.k me ny sahi kaha ya ghalat.
ap pendulum k bajay esi tarah hat ki gerdish per bhi jawab set ker sakty he,ye logon k leye bilkul nai cheez ho ge.lekin mashq bherhal kerni pary ge.
umeed he k is tarah se ager koi jawab deta ho.or us ka kehna ye ho k us k pas koi muakil he.to ap ko hanse zaror ay ge,ap keh sakty hen k me is muakil ko bhot achi tarah janta hon.

1 comment:

  1. Masood tahim nami is shakhs ne ye blog meri ijazat ke bagher banaya..or mery orignal artical mere group me add ho ker chori se yaha copy pest keye..barahey meherbani is copy master se hoshyar rahen....mere artical perhney ke leye mera fb group join kejye..https://www.facebook.com/groups/Meditation.Urdu/

    ReplyDelete