Saturday, January 10, 2015

HUMARY zehan ki kai sathy [states] he.jin me BETA / ALPHA / THETA / OR DELTA , bunyadi states hen.her insan in state of mind se her din ghuzarta he:

HUMARY zehan ki kai sathy [states] he.jin me BETA / ALPHA / THETA / OR DELTA , bunyadi states hen.her insan in state of mind se her din ghuzarta he,ek meditation k talib e ilm ko in se agha hona bara zarori he.ta k wo samajh saky zehan k kam karny k tareqy ko.muhaqeqeen ny her state me zehan ki raftar per sec bhi batai he.jin ko yad ker lena chaheye.

BETA //// jis waqt hum so ker bedar hoty hen.or mo hat dho ker frash ho jaty he.or phir apny kamon me lag jaty hen.yani pori tarah mutaheriq [action] me ajaty hen.is waqt humary zehan ki raftar 14 cycles per second se 21 cycles per se...cond tak ya is se bhi zada ho sakti he.is state of mind ko hum "BETA" kehty hen.is state of mind me hum her jismani km boht achy andaz se anjam de sakty hen.

ALPHA//// jis waqt hum zara pursukon hony lagty hen.khuwa thakan k sabab ya az khud meditation waghera k zarye khud ko relax kerna shuro karen.ya neend ka ibtedai marhala yani halka sukon mehsos karen.to is waqt humary zehan ki raftar me kumi any lagti he.is state of mind me humary zehan ki raftar 7 cycles per second se 14 cycles per second tak ho jati he.is state me hum halky sukon se mehzoz hoty hen.is state of mind ko ALPHA kehty hen.meditation me sochny k leye ye ek ideal state he.is state me hum takhleqi ideas per boht behter soch sakty he.is state me az khud bhi boht achy ideas aty he,masail ka hal bhi hun soch sakty he.or apni roh se bhi rehnumai le sakty he,neend se pehly hum is state se ghuzar jaty hen.jab k meditation me hum is state me thyher sakty hen.
Ager ye kaha jay k aj jitni bhi sance taraqi he.wo zehan ki esi state me jany se mumkin hoi to ghalat na ho ga.kiyon k ek scince dan jab bhi kisi cheez per ghor kerta he.ya koi bhi shukhs jab bhi kisi masly per musalsal ghor kary ga.to wo khud ba khud zahen ki esi state me chala jay ga.or takhleqi ideas zehan ki relax state [alpha / theta ] hi me aty hen.esi tarah shair hazrat jab sher kehty hen.tab bhi wo inhi state me hoty he.jisy wo aam tor per amad ka nam dety hen.esi tarah mosawir hazrat bhi jo takhleqi art jisy kehty hen.wo bhi zehan ki inhi states ki karishma sazi he.
her insan meditation k zerye in state of mind se istefada ker sakta he.

THETA//// jab hum sony k leye tyyar ho jaty hen.or bister per let jaty hen.to sony se pehly halki ghonodgi hoti he.ya halka sukon hota he.jis ka zikir hum ker chuky k is state ko alpha kehty hen.bas sony se pehly hum is state me thyher nahi paty.or ba tadreej neend me chaly jaty he.jab k meditation me hum is state me apni merzi se thyher jaty hen.
to pehly halki ghunodgi k bad ye ghunodgi gheri ho jati he.ya meditation me jab hum ghery sukoon me chaly jaty hen.ya phir hypnosis me hum ghery sukoon me chaly jaty hen.to is waqt humary zehan ki raftar 4 to 7 cycle per second ho jati he.is moqy per hum ghery sukon me hoty hen.
ye state of mind hypnosis me ideal state kahi jati he.is waqt humara la shaor jagty hoy bhi shaor per ghalib ajata he,
is moqy per her tarah ki musbat suggestion khud ko ya kisi dosry ko hum de sakty hen.meditation me hum kisi bhi project per kam ker sakty hen.or meditation me jagty hoy hum ghery sukon se mehzoz ho sakty hen.

DELTA///// gheri ghunodgi k bad hum so jaty hen.is moqy per humary zehan ki raftar 1/2 to 4 cycle per second tak ho jati he.ager chy is state ko rohaneyat ka darwaza kaha jata he.lekin neend ki halat me jo cheezen bhi humy nazer ati hen.akser wo isharon ki shakal me hoti hen.baz o qat bilkul wazhy bhi hoti hen.lekin jo kuch bhi humy khuwab ki shakal me dekhai deta he.ye wo malomat hoti he.jo roh k zrye ati he.or in me boht kuch baten posheda hoti hen.jinhy samajhna boht zerori he.is state me humara aura safer per nikal jata he.is ki ek waja to ye he k neend ki halat me khayalat ka wo silsila jo hum khud se sochty rehty hen.ruk jata he.natejy me cosmic energy bherpor andaz se jisim me stor hony lagti he.lehaza is waqt humara jisim bhi boht halka ho jata he.natejy me humara aura safer per nikal jata he.
meditation ya hypnosis me ager koi shukhs alpha theta se ghuzer ker delta me chala jay. [aam tor se boht se logon k sath esa hota he.] to meditation or hypnosis ka amal kar ger nahi hota.kiyon k in dono me la shaor k ghalby k sath shaor ka bedar rehna bhi zerori he.or neend ya delta state me shaor mukamal tor per muatal ho jata he.

1 comment:

  1. Masood tahim nami is shakhs ne ye blog meri ijazat ke bagher banaya..or mery orignal artical mere group me add ho ker chori se yaha copy pest keye..barahey meherbani is copy master se hoshyar rahen....mere artical perhney ke leye mera fb group join kejye..https://www.facebook.com/groups/Meditation.Urdu/

    ReplyDelete