Saturday, January 10, 2015

POWER OF VISUALIZATION !:

Mind scince me apni kamyabeyon k leye tasawur ko istemal keya jata hy.is hawaly se zehan k kam kerny k tareqy ko samajhna chaheye.yad rakhny ki bat ye hy k humara zehan ya la shaor haqeqi ya gher haqeeqi me ferq nahi ker pata.maslan ager humary samnny koi khany ki dish na rakhi ho.jesy biryani ko le len.ager humary samny biryani nahi rakhe.lekin hum ankhen band ker k tasawur karen k biryani mojod hy.to humara zehan ya la shaor foran is per yaqeen ker ly ga.or zaban per is ka zaeqa bhi mehsos kerwa de ga.
kiyon k humara zehan real or unreal me ferq nahi ker pata.
dosri bat zehan k hawaly se ye k humara zehan bileving k usool k tyhut kam kerta hy.yani jis bat per ye yaqeen ker le usy takhleeq ker deta hy.ab chahy soch mubat ho ya manfi.jis per bhi ye yaqeen ker le ga usy takhleeq kerna shuro ker deta hy.jesa k hum janty hen k humary jisim ka ikhteyar zehan k qabo me hi hota hy.jesa k misa de gai biryani k .jab hum ek gher haqeeqi image biryani ka esy dekhaty hen.to ye yaqeen ker k zaban per zaeqa mehsos kerwadeta hy.ya ei tarah koi or shy jisy hum tasawur kare,
teesri bat ye k humara zehan her shy ko image ki sorat me dekhta hy.yani tasweer ki sorat my.jesy humary samny pani ho to pehly ankhon k zerye pani ka image zehan per banta hy.us k bad zehan pehchanta hy.k ye fula shy hy.
esi tarah ye bhi yad rahy k humara zehan jo information leta hy.wo five senses per leta hy. songhna/ chukhna / dekhna / sunna / or chona .
ye tafseel deny se murad ye hy k zehan k kam kerny k tareqy ko samajh leya jay.ta k jab bhi ap visualization kren to in sabhi baton ko tasawur me shamil rakhen.tak k zehan k kam kerny ka tareqa mukamal ho jay.
jab ap ny ye bat samajh le k humara zehan beliving k usool k tyhut kam kerta hy.to ab esy apni khuwahishat or masail k leye musbat or achy se acha tasawur den.or zehan is tasawur per yaqeen ker le.is maqsad k leye bar bar esy dohraen, yahan tak k humara zehan is gher haqeeqe tasawur per yaqeen ker le.kiyon k jab ye yaqeen ker le ga.to usy takhleeq kerna shuro ker de ga.
bas ye hi thora sa mushkil merhala hota hy.k jo halat nahi hoty .hum is ki durustege ki tasweer zehan ko dekhna chaty hen.jo kharab halat me zara duswar zeror hota hy.lekin na mumkin nahi.ager halat k khilaf zara se will power ko istemal ker k kisi tarah zehan ko ye yaqeen dela deya jay k halat achy horahy hen.to phir haqeeqat me halat achy hony lag jaty hen.ager kharab halat ko hi socha jata rahy.to hum is tarah kharab halat ko mazeed mustehkum ker rahy hoty hen.is tarah amli koshish ka nateja bghi sifer [o] nikalta hy.phir hum kehty hen k meri koi koshish bhi karger nahi horahi.is ki waja ye hi hoti he.k hum zehani satah per kharab halat ko soch soch ker mazeed kharab ker rahy hoty hen.is k bajay acha socha jay to thori mehnat se acha nateja nikal ata hy.

2 comments:

  1. Masood tahim nami is shakhs ne ye blog meri ijazat ke bagher banaya..or mery orignal artical mere group me add ho ker chori se yaha copy pest keye..barahey meherbani is copy master se hoshyar rahen....mere artical perhney ke leye mera fb group join kejye..https://www.facebook.com/groups/Meditation.Urdu/

    ReplyDelete
  2. janab danish husasin.ap ka to fb link he dead hy.ye groupd lagta hy kke fb ny delete kr dya hay.kio or link hy to kindly send us..
    or baqi ap ki fb id pay msg kye they 3 week pehaly .us ka bi kio jawab nahi dya.ap nay to parhay bi nahi hay

    ReplyDelete