Saturday, January 10, 2015

TELEPATHY ! Last (Part 4):


is hawaly se ek mukamal program k zikir me pichli post me ker chuka hon.is hawaly se sans ki mashqon ko bhi zror zehan me rakhen.k ye sans ki mashqen boht zrori hen.jo her mashq se pehly zror karen.
jab zehan kisi ek point per kuch der ther jata hy.or is tarah ki mashq roz ke jati hy.to ahista ahista zehan yukso hony lagta hy.zehan ki ye yuksui zehani inteshar ko khatum ker deti hy.jis k natejy me qowat e iradi [will power ] me boht zada izafa ho jata hy.
jis shukhs me will power boht ho, toesy shukhs ki kamyabi zindage me boht se hawalon se barh jati hy.
phir esa shukhs apni qowat e iradi se jo chahay kam le sakta hy.
insan ki soch ager tameeri ho to us ki soch ka rukh ALA ki taraf ho jata hy.yani bulandi ki taraf,is tarah esi soch rakhny wala mazeed sukoon se bher jata hy.jab k jin logon ki soch me takhreeb ho.in ki ye soch ASFAL ki taraf rukh kerti hy.yani paste ki taraf esy log kisi esi salaheyat ko hasil ker bhi len to apni soch ki waja se mazeed gham or pareshani me mubtela ho jaty hen.
yani soch ko tameeri rakhen.takhreeb ki taraf na jany den.
ap is salaheyat se achy kam bhi zror ker sakty hen.
kisi bilkul mayos shukhs me umeed peda ker sakty hen.kisi beemar ko shifa ka pegham de sakty hen.kisi kumzor me josh or walwla peda ker sakty he.do juda hoy shukhson me muhabat peda ker sakty hen.
lekin tajurba ye hy k kisi taqat k husool k bad humra rawaya zada ter takhreeb ki taraf chala jata hy.ye hi waja hy k baz na ehal log bawjod koshish k is qabil nahi ho paty.
jab ap ko kuch arsa in mashqon k kerty hoy ho jay.to sath sath tajurba bhi kerty rahen.maslan is tarah karen.k kisi dost waghera ko ek jagha betha den.or ap us ki pusht i janib beth jaen.or kuch cheezen jesy glas /spoon/ koi kitab waghera ek sath us k agy rakh den.or khud us k pechy beth ker tasawur me us ka chera laen.image us ka zada se zada wazhy ho.ab us ashya me se koi ek cheez usy uthany ka message den.or dekhen k wo ap k message k mutabiq hi wo shy uthata hy .ya nahi.ager ghalti ho jay to koi masla nahi.phir ye practice karen.is misal se ap is tarah k mazeed or bhi tajurbat ker sakty hen.maslan kisi ko ek kumry me makhsos jagha betha ker usy kahen k me message don ga.ap k zehan me is jagha se uth ker kisi jagha bethny ka khayal ay to us per amal karen.or ap dosry kumry se usy message den.
is tarah boht se tajurbat ap ker sakty hen.lekin is me jaldi na karen.jab kuch arsa ho jay.or khud me ap ko yuksoi mehsos ho to tab esa kerna shuro karen.
in tajurbat k bad kisi apny janny waly shukhs ko jo dor ho ap se usy message karen.or phon kerny ka kahen.
ye bat yad rahy k ek cheez ye hy k ap ny koi message deya.ab ager usy meesage mil gaya to wo usy apny khayal hi ki tarah samjhy ga.lehaza zerori nahi k wo foran hi ap ki bat per amal ker le.ho sakta hy k khuch der bad amal kare.ya agly roz amal kare,
dosri bat ye k ek hi khayal ko bar bar bhejna yahan tak k wo us khayal per amal ker len.esy ek hi bat per ubharna kehty hen.ya bilkul zser andaz hona kehty hen.lehaza dono baton ko zaehan me rakheye.
is bat ka khayal rakhen k message dety waqt zehan per zor bilkul na den.bas jisy pegham dena hy.is ka khayal laen.ya is k image ko wazhy karen.or phir usy message den.
apny tor per meny tafseelan baton ka zikir ker deya hy.ab is hawaly se mehnat kerna ap ka kam hy.
[NOTE]
mery baz dost page per jin ki hazri nazer nahi ate.lekin message k zerye wo is hawaly se or deger hawalon se pochty rehty hen.mujhy ye bat samajh nahi aei k me ye hi arz kerta hon k ilmi noeyat k sawalat page per kejeye.lekin wo page per likhna shyad apni toheen samjhty hen.or bar bar sirf message k zerye rabta kerty hen.esy hazrat k leye arz hy k ager is hawaly se koi sawal ho to page per sawal kejeye.message per jawb nhi de sakon ga.lehaza apna qeemti waqt zaya na karen.shukreya

1 comment:

  1. Masood tahim nami is shakhs ne ye blog meri ijazat ke bagher banaya..or mery orignal artical mere group me add ho ker chori se yaha copy pest keye..barahey meherbani is copy master se hoshyar rahen....mere artical perhney ke leye mera fb group join kejye..https://www.facebook.com/groups/Meditation.Urdu/

    ReplyDelete