Saturday, January 10, 2015

SELF HYPNOSIS :

SELF HYPNOSIS ! hypnosis greek zaban ka lafz he,jis k mani hen. "neend" .lekin hypnosis k zarye hum khud per ya dosron per jo neend tari kerty hen.aam neend se is me bara ferq ye he k. aam neend jo hum lety hen.is me humara shaor mukamal tor per muatal ho jata he.jab k hypnosis k tehut neend me humara shoar muatal nahi hota.yani hum bazahir soty hoy nazer any k ba wujod jag rahy hoty hen.


AGER khud ko self hypnosis ki adat dal le jay.to ap kum waqt me boht bheter karkerdagi ka muzahira ker sakty hen.self hypnosis k by inteha faedy hen.
Ap khud ko qabo me rakh sakty hen.apny jazbat ko qabo ker sakty hen.zahani dabao ... me kumi ker sakty hen.ghubrahut per qabo pasakty hen.khud etmadi or will power me izafa ker sakty hen.ap apni skil me improvent la sakty hen.taluqat me izafa or inhy behter bana sakty hen.education me behter karkerdagi dekha sakty hen.zahanat me izafa ker sakty hen.kisi bhi moamly me sahi tajzeya ker sakty hen.yani self hypnosis ka amal ap ko her jagha kamyabi se humkinar ker sakta he,
yad rakhni ki bat ye he.k hypnosis me hum suggestion k zarye khud me tabdeli laty hen.kisi bhi masly k hal k leye sab se pehly ap ko musbat suggestion ka intekhab kerna perta he.
suggestion k hawaly se ye bat zahan me rakhen k suggestion mukhtasir ho.or zamana e hal me de jay.
maslan jab ap khud ko khud etmadi ki suggestion dena chahen.to is tarah den.k "mujh me by inteha khud etmadi mojod he."
is k ilawa suggestion me lafz "nahi " ka istemal na karen.kiyon k humara zahan lafz nahi ko filter nahi ker ta.
jesy koi shukhs smoking chorny ki is tarah suggestion de.k "me ab smoking nahi karon ga.
ab chu k lafz "nahi " to zahan filter nahi kare ga.lehaza nahi k ilawa baqi suggestion zahan qubool ker le ga.or wo ye hi ho ge.k me ab smoking karon ga.
lehaza is bat ka bhi khayal rakhen.
han is ki jagha ye suggestion ho sakti he.k "ab jab bhi mujhy smoking ki khuwahish ho gi.me fresh jose peyon ga.
bherhal ager ap kisi bhi hawaly se khud ko self hypnosis k zarye suggestion dena chahen.to pehly inhen likh len.ager ap kuch dushwari mehsos karen to mujh se bhi poch sakty hen.
bherhal ek waqt me ek cheez k hawaly se suggestion den.or ek suggestion ko ek dafa me teen martaba dohraen.or mustaqil bunyad per esy apnyen.yahan tak k jo tabdeli ap khud me lana chaty hen.wo a na jay.
suggestion dil me den.or sath sath feelings bhi laen.tone ko zra dheema rakhen.han jab khud ko strong ya khud etmadi jesi suggestion den.to tone ko zra power se dil hi me ada karen.
ye wo tamam baten hen.jin ko ap ne self hypnosis se pehly zahan nasheen kerna he.ab raha sawal hypnosis neend khud per tari kerna ya jisy hypnosis ki zaban me trans me jana kehty hen.to ye koi itna muskil kam nahi he.is ka tareqa me likh raha ho,is k zarye ap asani se khud ko trans me le ja sakty he,trans me jany ka amal bhi boht lutf angaiz he.esy ap zaror try karen.
jis tarah meditation k leye ap khud ko tyyar kerty hen.yani bthny ka andaz /pursukon mahol/ roshni ka nisbatan kum hona waghera.ye sari tyyari ap ker len.
IS k bad ap ankhen band ker k 50 to 1 counte karen.yani 50 se 1 tak ulti ginti ginna he,
ye ginti ap ny dil hi dil me boht ahista ahista ginna he.50........49...........48 ................47.....................46.....45.. boht ahista thory thory gape k sath ye ginti ginni he.
jab ap 45 per pohchen to khud ko pursukoon hony ki suggestion is tarah den.k "me boht pursukoon mehsos ker raha hon.or me sukoon ki gheri wadeyon me jata jaraha hon.yahan tak k jab me 1 ginnon ga.to mukamal tor per trans me chala jaon ga."
Is suggestion ko phir ap jab 40 per pohchen to dobara den.esi tarah 35 per phir 30 per phir25 per is k bad 20 per yani her panch bar ginny k bad ap ny ye hi suggestion dohrani he,
yahan tak k ap 1 gin len.is waqt ap per boht gheri sukoon ki halat tari ho jay gi.dekhny wala ye samjhy ga k ap so rahe hen.jab k ap ghery sukoon ki halat me bilkul jag rahy hon gy.shayad ye ap ki zindagi ka pehla tajurba ho.soty howy jagny ka.
is waqt ap ka la shaor mukamal tor per bedar ho ker shaor per ghalib ho chuka ho ga.lekin shaor mukamal tor per maghlob nahi ho ga,
is waqt ap khud ko jo bhi achi suggestion den gen.ap ka la shaor esy fooran qubool kare ga.or wesa hi zahir bhi kare ga.jo ap usy suggestion de rahe hon gen.
ab ap ka zahan tyyar he k ap esy sugestion den.lekin is se pehly ek ehteyati suggestion bhi zaror de len.wo ye k " ey mery la shoar her wo ghalat suggestion chahe wo mery ander se ay ya baher se tum usy deleat ker dena"
esy teen mertaba zaror dohra len.
ab is k bad ap ji hawaly se bhi suggestion dena chahen, de sakty hen.her suggestion ko kum az kum teen bar zaror dohraen.
jab ap sagestion de chuken.to ab trans se baher any se pehly ek ghera sans len.or 1 to 10 count karen.ahista ahista.
10 per pohanchny k bad ap ankhen khol den.
ager kisi ko is doran ghery sukoon ki waja se nend ajay to koi pareshani ki bat nahi.jis tarah insan neend se bedar hota he,bikul esi tarah sony wala shukhs bhi bedar ho jay ga.
ye self hypnosis ka tareqa tha jo me ne apno bisat bher koshish se arz ker deya he,jo faeda uthana chahen zaror amal karen.
is hawaly se ek do baten or arz keye deta hon.aam tor per log in baton me uljha dety he,or sahi bat nahi bataty.ek ye k trans me or meditation me ferq he.jo bilkul ghalut bat he,dono me koi ferq nahi he.meditation me hum kisi khobsorat manzer k tasawur k zarye zahan ki esi relax state me jaty hen.jab k hypnosis me hum ginti gin ker.[ tatrans me jany k boht se tareqy he.] jany ki koshish kerty hen.maqsad ek hi he.la shaor ko ghalib kerna.or shaor k amal dakhal ko kisi hud tak kum kerna.ap ko ager meditation me relax state me jany me esy pareshani hoti ho.to ap bilkul esi tarah ginti gin ker gheri pursukoon halat me ja sakty he.koi muzaeqa nahi.bas aam meditation me ap suggestion ki jagha kisi tasawur ko qaim kerty hen.

1 comment:

  1. Masood tahim nami is shakhs ne ye blog meri ijazat ke bagher banaya..or mery orignal artical mere group me add ho ker chori se yaha copy pest keye..barahey meherbani is copy master se hoshyar rahen....mere artical perhney ke leye mera fb group join kejye..https://www.facebook.com/groups/Meditation.Urdu/

    ReplyDelete